Lahore ki Baqra Eideen.

Hum jab tak Bhatti sahib key kiraya dar rehey, jo keh taqreebn 11-12 Sal tek they, hum ney aik adh daffa key elawa kabhi khud say Bakra naheen khareeda, our na hi kabhi Qurbani kay liyee Qasai kiyaa..

Bhatti sahib mashallah say her sal , 7-8 bakroon ki qurbani kertey they.
Har Sal , Dubai chowk per Nirala key samnay maidan meen aik Bakrey wala aa jaata thaa... wooh Bakray tool ker beycha kertaa thaa , 30-40 janwar laata thaa , Bhatti sahib un meen say her saal kabhi 10 kabhi 12 our aik saal to 22 bakray bhi khareeday they.
apnay 7-8 key elawa , kissi sal aik our kissi sal do hamary hoootey they, our 6-7 mohallay waloon key liyee hootey they..
Bakra Eid say aik raat pehley, us kay paas pohunch jaatey they ,our jitney bhi bakrey khareedney hootey they , chun leytey they , phir unko tool ker mool lagwa leytey they ...
our youn her saal whole sale khareedari kerttey they..

aysay sastey partee they, kiyoon key akhethey khareedney per Bakray wala riyat ker deytaa tha , us kay bhi akethey bik jaatey they , ziada jhanjhat naheen uthana pertaa tha .our baqiyoon ko bhi khuwar naheen hoona pertaa thaa.

Janwar us ka saaf suthra our achaa hoota thaa.

in 11-12 Saal meen hum ney kabhi Qasai bhi naheen kiyaa ,so humeen to maloom hi naheen hoota thaa keh us season meen Qasai ka rate kiyaa chal rehaa hey...

Bhatti sahib sarey key sarey bakrey khud kiyaa kertey they..
Bakra eid walay din subha subha namaz perh ker wooh our unki Factory key 4-5 mulazim aa jaatey they ,picheley sehen meen , Line say Bakrey gira deytey they , jis jis ka hota thaa , woh us per churi pheyr deyta thaa....phir her koi apney hissay kaa kaam kiyaa kertaa thaa..

hum ney Churi pheyrna, our Khal utarna , our baad meen Gosht meen say suthray tareeqay say Chanpeen banana aysee si seekhaa...
khas masala banana bhi ,our behtereen tareeqay say bhonenna bhi aysee si seekhaaa..... hamaray masalay our bhoneneny ki kafi demand hoo gayee thee....

Gosht per Masalay meen hum sirkay our Dahi ka istamal kertey they , aik khas tanasub say , jis say us meen narmi bhi peydaa hooti thee, bhun bhi jaldee jaata our uskay ander ras bhi rehtaa , jo key aik alag hi maza deytaa thaa .

gharz jitna arsaa Lahore meen , Bhatti sahib key Kirayadar rehay , Bakra Eid aik Alag shaan say manayee..

ub ....yehan Karachi meen halat alag heyn , koshish kertey heyn , keh kam is kam aik Hissa gayee meen hi daal leyn ....7-8 ath sal huway ....... aik adh saal to hissa bhi na daal sakay .... is saal inshallah dal leyn gey ...
Gaayee key hissa ka 3950 say 4700 Rs ka hiss bantaa hey .... 4300 rupee hoo gayee heyn... allah behteree karey gaa...

Comments