Matloob oor Papeeta

Humari dadi ko , phoolon poodon ka bohot shouq tha , ghar choota tha, magar bahir baramdey key pass thori see jagha khali thee, jis ko wooh apnay shouq kay leeyaa istamal kertee theen, khiyal wazir unka noukar janay kehan kehan say unkay leeyay pooday ley aata tha .
aik dufa papeetey ka pooda ley ayeea, dadi ney us per bohot mehnet ki, bilkul apney bachoon key tarha khiyal rekha, or us din to jaisay Eid thee, jis din usper pehlay papeetey ki konpal deykhee , ub to our bhi , dulha bana diyaa , pattay tek bar bar mulayeem kaprey say saaf keeya jaaney legay, khiyal wazir to raat ko apni charpai us kay sath hi lega ker sooney laga.
kheyr , ub us meen phal aana shiroo huwa, pehla phal jub pakka, to sary ghar meen khusi ki leher dour gayee, baray ahtemam say, saray ghar ko us raat dasterkhawan per khas tour per jama ker key khilayaa.
phel bohot hi umda tha...phir to jaissay phaloon ki barish hoota shiroo ho gayee, papaytee day darkht to bhi ghaliban apnee ahmeyat ka andazza hooney lega, or her naya phal pehlay say behter or ziaqay dar hooney lega.
kheyr mohaley meen bhi iskee dhoom mach gayee, aik din jo sub soo ker uthey to , jaisay shock sa leg geya sub koo, aik papeeta kam tha, khiyal wazir ney qasmeen khayeen or kissi ko yaqeeen bhi naheen ayee keh khiyal wazir aysee koi harkat keryee ga, magar aik papeeta darkht per say kam tha....
khiyal wazir ki to shamaat a gayee, sun lanat malamat kerney legay, or yaqeenen us ka wooh hafta to jehanum meen guzra hoo ga, us ka bahir soona bhi moqoof huwa
or ghar key bachoon ki duty leg gayee, keh rat ko uth uth ker deykheen khiyal wazir kiya ker reha hey.



khiyal wazir bhi beycharaa , jaisay mun chupayee phirta thaa, kissi ko us per yaqeen jo naheen aa reha tha, kheer ghabraa ker , ghar choor ker chaala geya, ......

magar phir aik anhooni hoo gayee, aik raat phir , aik papeeta ghayeeb thaa, ub to saray ghar meen jaisay toofan aa gayee, ub to khiyal wazir bhi naheen thaa,... phir yeh sub kaisay,
kheer bachoon ki duty tabdeel huwi, or ub, wooh raat ko uth uth ker papeetey key darkht ki rekhwali kerney legay, ..
magar khuch dinoon key baad, phir aik papeeta kum hoo geyaa, sub ki to jaisay ratoon ki neendeen bhi haram hoo gayeen.

phir chacha ko aik tarqeeb soojhi, unhoon ney bijlee ka tar , darkht key gird lega deeya, or rooz raat ko , usmeen bijlee choor deytay, kafi din khaiyriat say guzar gayee, khiyal wazir ko bhi dadi khud ja ker mana layeen , kiyoon keh yaqeen ho geya thaa, keh yeh kaam khiyal wazir ka naheen. khiyal wazir bhi khushi khushi wapus a geyaa, uska bhi ghaliban dil kaheen our naheen legta thaa.

aik raat , beray zoor say kissi key girney, or cheekhey ki awaz ayee,sub foren bahir nikley, magar choor bhag chukaa thaa.
Agley din , hum ney deykha, Matloob lengra ker chal reha tha, uski kohni bhi chilyee huwi thee, or humaray ghar key pass bhi naheen a reha tha or uskay sath Imtiaz bhi khoof zada khoof zada leg reha tha...

us din say Matloob ka nam matloob Papeeta per geyaaa.


baad meen shariq ney batayaa, usko current bohot zoor ka lega tha, or wooh kafi door ja ker giraa thaa , our qamr meen bhi uskay choot ayee thee.
yahan yeh wazeh ker deen keh mohaley meen bhi kafi loogon key ghar meen bhi kafi papeetey kay darkht legey huway they, Rizvi sahib jo humaray paroosi bhi they, unkay ghar too na sirf papeetey , bulkey keyley , aap, amrood, jaman , leechi, or aik khajoor ka bhi bhi peyr thaa, jo keh na janey kiyoon bara naheen hoota tha....

... unhoon ney apnay ghar key angan meen bhi, or ghar key bahir, ki kafi sari sarkari zameen per bhi , poori kheeytee bari ker rekhi thee.
aaj bhi agar aap Nazimabad meen Manzoor market jaeen , to unkay ghar key baad
aik weeran sa ujar sa bagheecha nazar aata hey, ub sahib-e-farash hoo chukey heen
or tawajuh naheen dey patey..... shaiyed is leeya, unki aik beeti thee, Billo, mooti see
aab too wooh bhi kai bachoon ki maa bun chukee hoo gee.

Nazimabad no 2 meen Shahid Sports of Arshad Clinic, goo Dr Arshad to kafi arsaa huwa chaley gayee, suna key khuch ghundey ayee they unkey pass, uskay baad say wooh Pakistan hi choor ker chaley gayee.

khair hum bhi kiya bateen ley beythey.



Kaisy kaisay loog
humaray dil ko jalanay
aa jatey heen

apnay apnay
Gham kay fasanay
Humeen sunaney
aa jaatey heen

Comments