Karachi ki Talash


Chowk per hi kissi topic meen , khuch aisa zikir chir geyaa keh humeen apnay sheher kay baray meen tajasus huwa, to khuch " tai'-e-q to'e'yan " mareen idhar udhar , or jo khuch samjh ayee yehan likhetey heen.



karachi ka sub sey pehla taskara , younanion ki kitaboon meen milta hey, kaha jaata hey, Sikander-e-azam jub wapus ja reha thaa, to uskay aik general " nearchus " , ney Manora key jazeray meen pani key jahaz banaye or wahan say wapus geyaa.

kaha jaata hey, pehely Hub river per aik port thee, jis ka naam, " Kharak " thaa, aik dufa barishoon ki wajah say wooh is qabil na rehey keh bandergah key tour per istamal hoo sakey, to wahan say loog, moujuda Karachi ki taraf aa gayee, yehan aik gaoon sa thaa, jis ko " mai -jo -goth " , ya " mai-kolachi -jo - goth " key naam say pehchana jaata thaa , so us din say , yeh " Mai-kolachi " say sirf " Kolachi " or phir bigertey bigertey , " karachi " bun geyaa.


" Deebal " key baray meen kaha jaata hey, yeh Malir Naddi ki taraf thaa, or Shayed aaj jahan " Port Qasim " hey , usee key aas paas thaa.

atharween [ 1729-1783 ] sadi meen, yeh elaqa Talpuroon key paas thaa, jinhoon ney " Manora " per aik Qila bhi banayaa.

Unisween sadi [ 1839] meen, jab Bartania ki East India company , yehan apna iqtadar mazboot kar rahee thee, to Napier ney yeh jahga baghair kissi larai key, Sindhi hummaranoon say cheen lee , Napier is jagha ki ahmiyat say khoob wakif thaa, or us nay Taj Bartania ko convince kiyaa , or 1867 meen , taj-e-bartania ney yahan ki bandergah key tameer per 250,000 Pounds kharach kiyee .


Karachi key puranay namoon meen, " Ras al Karazi " , " Ras Karashi " [ Suleiman al Mahri (AD 1511) ] our " Kaurashi " [ Sidi Ali Reis key MUHIT , jis meen bahiri rastoon ki nishandeyee ki gayee thee ] , bhi heen.

Kaha jaata hey, Kolachi jo Goth say pehlay " Kharak " yehan ki mashoor bandergah thee, jo keh sadiyoon say Maskat, bahrain or Oman say tijarat ker rehey thee.

wallah alm bis sawab.


so Karachi ki talash meen, hum ney Manora ka safar kerney ka soocha, so subha subha 2K ki buss pakri , or kemari chaley ayee , yeh aaj say teen char din pehley ka waqiya hey . Rs 13 Lagay ,wahan tek anay meen.


wahan do lancheen kharee theen , aik Manora ko jaati thee , aik Bhit shah ko, hum manora ki laanch meen beyth gayee , pata challa keh jub tak laanch bharey gee nai , chaley gi naheen, Kab bharey gee.....? yeh aap ki qismat hey, so humari qismat ney humeen deyrh ghanta intezar kerwaya ,Manora to ba mushkil 15 minute meen pohunch gayee , Rs 20 lagay , wahan uterey too Manora meen dakhley key Rs 10 deyney paray , Wahan say phir sahir ka rukh kiya , Jub sahil per pohunchay to deykh ker hairan reh geyee , wehan aik Hindoon ka Mandir thaa, Kehtey heen bohot purana , sadiyoon purana hey, jis per tiles , ghalibn 1840 meen doubara lagwayeen gayeen theen.
Manora per angerezoon ney aik Pavalion bhi banaya thaa, jis ki aaj kel doubara tameer jany kub say hoo rehee hey . bun jayee ga to pata chaley ga keh kaisay hey.

Beherhal , wahan patta chaala keh , yehan Manora meen sik sikhoon ka Gurdwara bhi hey , or do adad church bhi , jin meen say aik meen sunday service bhi hooti hey .
Wahan aik aded " Light House " bhi hey , jis per jaanay ki ijazat naheen, haan kabhi kabhi agar wahan kay commandant sahib mood meen hoon to school key bachoon ko ooper jaaney ki ijazat dey deytey heen .

machli waghara kiyoon keh tazah naheen leg rehee thee so naheen khai, haan Rs 20 key do cup chay pee ker wapsi ki rah pakri.

phir doubara Rs 20 dey kery , Keymari ayee or 2k ky bus pakar ker wapus.


Manora ub road key rasty bhi pohuncha ja sakta hey, is kay liyee aap ko Sandspit jaana perey gaa, wahan say aik road , Manora tak aati hey , wehan Manora hi huddod meen dakhil hooney say pehlay , check post per aapki gari key kaghazat waghaira rekh liyee jayeen gay, jo keh wapsi per aap ko millen gay.

Hume ney wahan key loogon say us greek general key baray meen poocha, so wahan key loog sirf younanai behri jahazoon key baray meen to jantey they, magar is bat say mukamal bay khabar , bulkey is meen dilchaspi hi naheen rekhtey they.

bus humeen us Bus route ka patta chelney deyn , phir hum Makli bhi jayeen gay, Bhanboor bhi , or chowkundi bhi ..
makli meen suna hey aik lakh qabreen hey, musalmanoon ki, bhanboor meen " sassi " keh wooh jagha yehan wooh zameen meen chup gayee, or chowkundi jehan suna hey qabal-is-islam Balochoon key qabreen heen.

wallah alam basawab.


or kissi din " Mangho peer " bhi , wahan suna hey No 20 ki Bus jaati hey, or wooh uska akhiri stop hey

Comments