Aik Safar

Warning.

1- Roman Urdu
2- Long Post



Seth kay bayti ki beeti ki shaadi thee , pichely dinoon , aaj unkay haan " muklaway " per loog aanay walay they , so jaldi chuti mil gayee.

ghar ayee , khali beythey beythey , anpa sandoooq theek kernay lagay , to aik Purana album haath laga , tasaweer sari ki sari Black and white theen .
khuch purani yadeen taza hoo gayeen.

doran-e-tablib-e-ilmi tamam loogon ki tarha , aik chutiyoon meen sara pakistan ghoomney ka irada kiyaa , so sub sey pehlay Railway Station say concession form lai, or Office say us per dastakhat karwai mohr sameet , railway waloon hi hidayat key mutabik do form bharwai , aik Karachi say Peshawar tak ka , or aik Peshawar say wapus Karachi tak kaa

Furkay huway kertay they , so Peshawar tak ka aik concession ticket liyaa , or sawar hoo gayee rail meen , rat ko rail Rohri junction per ruki , to achanak mood bana keh Quetta chala jayee , so wahan key station master say Break kerwaya , or Queta ka ticket katwayaa ..

ub ka patta naheen ,per pehlay Railway walay tickets per journey break kernay ki aik do din tek , ki ijazat deytey they ..



so wahan say Chiltan express pakri, or Quetta aa gayee, Attique ka bhai GD pilot tha, so usko station say phone kiyaa, to wooh aa geyaa, or hum ney wooh raat Samungli Base meen guzari , subhaa us ka Batman hum sub kay liyee nashta layee, to unki badshahi deykh ker rashk ayee, or patta challa keh kiyoon her koi GD pilot banana chahtaa hey...

phir wooh hum ko , Hina lake, or quetta ki doosri mashoor jaghoon per ley gayee, sham ko aik party thee, kafi saray Airforce kay loog they, Attique ka bhai taqreebn senior hoo geyaa thaa, ghalibn aik do saal ka course hi baqi reh geyaa thaa, so unkay group ki to shan ki khuch our thee... wahan kafi sary TV kay banday bhi they, hum ney Laila Zuberi ko wahan pehli dafa deykha , or Ayub Khoosa bhi khuch deyr kay liyee ayeeya thaa .

raat ko uskay bhai or unkay group ney humari Sajji ki dawat kee, hum ney zindagi meen pehli daffa sajji khai, or uswaqt wooh humeen ahcee naheen lagi , bari pheeki pheeki see thee , khair, agaly din hum ney train pakri or Lahore ka rukh kiyaa, kiyoon keh wahan humara koi janeney wala naheen thaa, so hum ney aik charpai hotel meen kamra liyaa, or Lahore ki sarkeen napna shiroo ker deen.

Lahore humeen kafi chakra deyney walaa laga , beher hal Old Campus or New Campus bhi gayee, Old campus key samney Muesuim bhi deykha, tolington market key baher , purani anarkali kay aik khookey say chai pee , or anarkali ka ander say hootey huway muslim masjid, phir data darbar, or wahan say Bhati kay andar say hootay huway , Shahi Mohalay nikely, kissi ney bataya, yehen kaheen , Allama iqbal bhi rehey heen , Shahi Mohalay meen naheen, bulkey Bhatti darwazay .... wahan say Barrood khana , jissay aaj kel Mian salahuddin ki Hawaili , ya sirf Hawili kaha jaata hey, bahir say deykhi, phir galiyoon galiyoon say hootay huway, Qillay per jaa nikley , Qillay kay ander khuch waqt guzara, Ranjeet singh ki tasweer deykhey , or museum meen uskay Ghoora bhi deykhaa, jis ki khaal meen Bhoosa bhar ker khara kiyaa geyaa thaa.

Aglee subhaa New Campus gayee , neher kay kinaray chai pee, or naher meen khuch log kishti chala rehey they , request ki , to unhoon ney kamal meherbani say kafi deyr tek humeen Neher ki seer karwai, jab patta challa keh hum Karachi say ayee heen to musr hoo gayee keh hum , yehah Hostel meen ajayeen or wooh humeen pooray lahore ki seyr kerwayeen gay ...
unkay purkhaloos israr say hum sharminda say hoo gayee , bari mushkil say inkaar kiyaa , per phir bhi unhoon ney Biryani waghaira mangwa lee , or neher kiay kinaray khaney ka to maza aaj bhi humeen yaad hey.

Lahore kay baad , Pindi ka programe bana, so Pindi kay liyee gari pakri , or pindi chalay ayee , wazeh rehy yeh sub usee aik ticket per huwa, joo hum ney Karachi say Peshawar tak ka katwaya thaa ,

Pindi meen barish hoo rehee thee, so sub say pehla kaam , wahan station kay bahir hi aik theyley say barsati khareedi, phir, qareeb hi aik hotel meen aik susta sa kamra liyaa.
wahan say Attique ney apny kissi rishteydar key haan phone kiyaa to pata chala keh wooh Islamabad meen Faisal Masjid kay pass kaheen rehtey heen, so saddar bazar say Islamabad kay liyee wagon meen beythey, us nay humeen Zero point per utttar diyaa , ub kiyaa kareen , itney meen aik Purani Moris gari humaray pass a ker khari huwi or us meen beythey driver ney hum say poocha kahan jaana hey, hum ney usko pata bataya to kehney lega , beythoo choor deyta hoon, Hum khush hoo gayee keh yehan kay loog kitney achey heen, or ajnabiyoon ka kitna khiyal rekhtey heen.

magar , yeh sari khushi dhari ki dhari reh gayee, jub us nay wahan pohancha ker hum say Kiraya mangaa, martey kiya na kertey deyna peraa.
Jub yeh baat wahan hum ney unkaay rishtadar ki beeti ko batai to wooh bohot hansi, kehnay laggi yeh Islamabad meen aisaa hi hoota hey, aksar sarkari mulazim heen, or part time Apni Privatte gari ko Taxi key tour per bhi chalatey heen,
suibah jab Office jaana hoota hey to rastay ki sawari pakar leytey heen, phir sham ko office say nikel ker phir wapsi ghar tak ki koi sawari pakar leytey heen, is tarha unka kam is or naheen to petrol ka kharcha zaroor nikal aata hey, warna in tankhahoon meen guzara waqai bohot mushkil hey , tub humeen pataa chalaa keh wahan Morris gari itnee ziada kiyoon hey ,

beher hall , wahan cake , biscut , or mazay ka khanay khaney key baad , marri jaanay ka program bana, jaisay hi bahir sarak per ayee, to phir aik Moris Gari wala aa geyaa or kehney laga kahan jaana hey, ..Magar ub hum loog hoshiyar hoo chukey they, to us say qareebi Bus stop ka patta poocha, to us ney moonh bana ker bata diyaa, or peechay muray baghari zanatay say gari bhaga ley geyaa.

Buss stop thoora door thaa, so paidal hi wahan tak ayee, wahan say hi , Liaqat bagh ki wagon mill gayee,

liaqat bagh , jo keh Muree road per hi hey, wagon walay nay Muree ki wagonoon kay aday kay bilkul samnay hi uttara , wahan say Muree ki wagon pakri, or Murree aa gayee.
Muree meen aik din pehlay bruf bari huwi thee, so hum ney baraf bari to naheen, baraf zaroor deykhee , Muree humeen koi khas pasand naheen ayee, so wapus a gayee.
un taqreebn raat hoo gayee the , so Attique apnay rishteydar kay han challa geyaa, or hum hotel a gayee,
sari raat kambakht khatmal katey rahey, khair subah deyr say uthaa, wooh bhi balkey Attique nay aa ker uthayaa , thoori pindi ki sair ki , phir waspsi ka program bana , hum station per gayee, or Karachi ka ticket banwanay legay to ticket walaa akar geyaa, kehnay laga , aap ka concession form Peshawar say Karachi ka hey, aap ko Peshawar jaana perey gaa , or ticket wahan hi say banwana peray gaa...ub kiyaa kareen.

Paisay bhi taqreebn khatam hi hoo gayee they, or doonon Peshawar jaana afford naheen ker saktey they , soo tay yeh payee keh hum akeylay Peshawar jaeen gay or wahan say ticket banwa ker , ayeen gay, Attique humeen Station per hi milley gaa , or pindi say donoon sath hoo jaeen gay,

so hum doubara raja bazar ayee, or wahan say hum ney Peshawar ki wagon pakree , or Attique to takeed key keh wooh her haal meen raat ko pindi kay staion per humara intezar keray ...

Peshwar tak kay saffar meen koi khas baat naheen thee, hum ziada bahir deykh bhi naheen sakey , kiyoon keh andheyraa hoo geyaa thaa, Gari ka time rat 11 bajay ka thaa, per humeen naheen maloom thaa keh wagon Peshawar meen humeen kahan utaray gee, hum 11 bajay Raat Peshawar pohnchy to patta chala keh Station yehan say kafi dour hey, so rickshaw pakraa or station bhagey, per joon hi station pohunchay to maloom huwaa keh Gari do teen minute pehlay hi nakal gayee hey,
ub to humaray hathoon kay tootay ur gayee , kiyaa kereen , Paisay bhi khatam hoo gayee they, sirf wapsi kay kirayee keh reh gayee they,

humeen wahan peryshan deykh ker , khuch ajeeb o ghareeb qism kay loog humary paas jama hoo gayee, kehnay legay , jacket beych doo, ghari beych doo , jootay beych doo
Hum ney wahan tariyaan lagaeen keh baaz raheen , humara falan janeney wala hay , or unko mushkil hoo jayee gi , or ghalibn humari tariyoon say wooh hum say door rehey, per hum bohot mushkil meen phans chukey they , Gari nikal Gayee thee , Aglee gari subha Fajr kay waqt jani thee, uther humeen pareeshani thee, Attique humara intezar ker reha hoo gaa , Station per , humara saman bhi hotel meen thaa , wooh to shayed Attique sath hi ley ayeega , per jub hum usko naheen mileen gay , to wooh bhi peryshan hoo jayeegaa , or yehan humaray pass to sirf ub wapsi ka hi kiraya hey , kissi hotel meen bhi naheen theyr saktay , or phir ,yehan station per akeyley thehraa khatarnak lag rehaa thaa ,
itney meen aik Larka ayee, ghalibn Peshawar University ka koi talib-e-ilm thaa ,kissi ko chorney ayee thaa, usney jo yeh majra deykha to hum say humari mushkil poochee, ,hum ney jub aik perha likhe banda deykha to us ko sara ahwal batayaa , us ney baqi tamam loogon ko joo wahan jama hoo gayee they , Pashto meen janay kiya kaha, wooh sub wahan say aisay ghaiyeeb huway jaisay ghadey kay sar say seengh .

Phir wooh humeen , wahan station per hi Store kay chowkidar kay paas lay gayee, or s say request ki keh isko Store meen raat soonay day , tahkey hum subha subha ticket banwa ker jaa sakeen.

khair us raat sardi bhi bohot thee, March ka maheena thaa, or March meen ooper kay illaqoon meen sardi bohot hooti hey, or humaray pas to khuch bhi naheen thaa, khair chowkidar ney aik chadar ka kaheen say bandobast ker diyaa , or hum sari raat wahan aik bench per sootay rehey,
neend kahan aati thee, bus sardi meen thitertay rehey

khuda khuda ker kay subha ki aazan huwi , to hum forn Ticket ki khirkee kay paas a gayee, train ghalibn 5 bajay jaati thee, so 4:30 per khirkee khulee , hum nay ticket walay ko concession form diya .

magar ubhi museebatoon ney humara sath naheen choora thaa , Ticket clerk ney humeen forn form wapus ker diyaa , kiyoon keh form utlaa bharaa huwaa thaa, yani doubara Karachi say Peshawar ka bhara huwa thaa, jubkey humeen to Peshawar say Karachi ka ticket banwana thaa ,
hum ney us say bohot request kee ,magar wooh naheen maana , kehnay laga Station Master hi aap ki madad ker sakay gaa, or station master subah 8 bajay say pehlay naheen aaata .
hum nay bhi soocha ub time to nikel hi gayee hay , soo uska bhi intezar kertay heen , khari khuda khuda ker kay subah huwi , or station master bhi aa geyaa, magar wooh bhi koi chamrakh qism ki cheez thaa, saaf inkar ker diyaa, kehnay lega naheen wapus Karachi ja ker Peshawar say Karachi ki doubara apnay taleemi idaray say tasdeeq karwa kar laao , hum ney bohteyra kaha , keh aap Karachi ka ticket banayeen gey , tab hi toh hum Karachi jaa sakeen gay, magar murghay ki aik tang, areeayl gadhay ki tarha aar geyaa...

....hum mayoos hoo ker , bahir aa gayee, or Pindi ki bus pakree , aisay meen zehen charkee ki manind chaltaa hee , hum ney wapsee meen ratay meen aik bara school deykhaa, ghalibn Nowshera High school thaa, sahi say yaad naheen, hum ney bus rukwai or utter gayee , or school kay office meen pohunch gayee , wahan office men jo sahib beythey they, unko apnay taleemi idaray ka shakhti card dikhayaa , or sara majra batayaa , wooh sahib kehney lagay , chaleen hum aap ko aik neyaa concession form bana deytey heen ,do students ka ...

magar unkay paas , Railway concession forms naheen they, ub hum kiyaa kareen,apnay aap per ghusaa ayee , keh kam is kam Station say aik khaili neya concession form to lay leytay , ub kaam aa jaata
khair unhoon ney maezart kee , humari halat deykh ker humeen chai biscuit bhi khilayee , phir kehney lagay adminstrator ka intezar ker leyeen shayeed unkay paas koi form para hoo, hum ruk gayee.

9 saray 9 bajau Administrator sahiba ayeen , unko hum ney sara majra batayaa apna kharab form dikhayaa,, apnai shakhtee card dikhayaa , magar unkay to taywar hi badl gayee, kehnee lageen hum aisay koi Concession form naheen bhartee ....

so hum mayoos ho ker apni qismat ko kostay huway keh khamkhwa meen waqt ziyaa kiyaa , bahir road per aa gayee, or Pindi ki aglee janay wali bus pakree ...

Rastay meen humeen khiyaal ayee, keh humeen sub say pehla kaam , aik neyaa concession form leyna chahiyee , phir deykheen gay keh usko bhara kaisay jaata hey, phir Attique ka bhi khiyaal ayee, keh janay wooh kahan hoo ga...

hum to raat station pohunchay naheen hoongay , to kaheen aisaa to naheen , keh wooh akeyla hi , nikal jayee... agar wooh akeyla nikal geyaa hoo , to hum kiyaa kareen gay,...waghaira waghaira...

khair Pindi pohunch ker hum say sub say pehla kaam, station jaa ker aik neyaa concession form liyaa, ... phir hum ney Attique key rishtaydaroon key haan phone kiyaa , tah key Attique ka pata chal sakey, magar yeh jaan ker keh Attique to raat hi nakal gaya thaa, humaray payroon talay zameen nakal gayee,
hum fourn Hotel pohunchay , keh hoo saktaa hey keh wooh Hotel meen aa geyaa hoo, magar wahan bhi pata chalaa keh wooh raat ayee thaa, or humara saman leygayee thaaa, uskay baad naheen ayeee....

hum to buri tarha peryshan hoo gayee , keh ub kiyaa kareen , khair station ki taraf chaley , to humeen samnay say Attique aata nazar ayee.
humarii to jaan meen jaan ayee, wooh bhi humeen deykh ker aisay khush huwa jaisay nai zindagi milli hoo , hum ney usko saara majra sunayaa ,
or phir yeh idea bhi keh yahn kissi our taleemi idaray meen jaatey heen or koshish kertey heen keh unsay apna concession form bharwa leyeen .

soo Raja Bazar meen humeen aik Karachi evening College kay naam say coaching center nazar ayee , hum fourn unkay office pohunch gayee , or jo sahib wahan they , unsay milley or sara majraa sunayaa, apna Purana ticket bhi dikhayaa or naya form bhi , or unsay request ki keh humari madad ker deyn,
khuda ka shukar hey, unhoon ney hami bhar lee , magar unkay idaray ki stamp , unka cashier kay paas thee, jo keh shaam koo aatay they, khair unhon ney humeen dilasa diyaa keh shaam ko ayeen , inshallah sub theek hoo jayee gaa..

ub hum doonon ko thoori aas huwi , or thoori jan meen jaan ayee, phir soocha , keh agar yeh bhi na hoo sakaa, to Attique kay rishtaydaroon say thooraay paisay udhar ley leen gay or poora ticket ley ker wapus jaeen gay .


us dopeher hum ney theylay say murgh chooley khayee, takreebn poora din hi hoo geyaa tha, or siway aik chai or chand biscuit keh hum ney khuch naheen khaya thaa.

khair uskay baad hum Raja Bazar or us say mulhaqa bazaroon meen aisay hi phirtey rehay , or sham to 6 bajay qareeb , doubara Karachi Evening College aa gayee ,
ubkay Qismat yawari ker rehee thee , soo unkay Cashier ney hi ehtiyaat say form fill kiyaa or baqaida sahi Stamp laga ker form fill kiyaa , phir us nay hi kaha keh ehtiyatan hum aap ko apnay idaray ka shakhti card bhi bana deytey heen , keh agar railway clerk aiteraz keray to ap dikha sakeen.
humaray dill say jitnee duaeen nikal sakteen theen uskay liyee nikleen

khair uskay baad hum ney unka bayhad shukria ada kiyaa, or railway station aa ker Pindi say Karachi tak ka ticket banwayaa....
Railway clerk , bara cheen ba cheen huwaa , kehnay legaa aap ko Karachi kay kissi idaray key talib-e-ilm they, yeh Pindi say kaisay ,.....??
hum ney us say kaha form sahi fill hey, is meen kami naheen , lehaza wooh form kay mutabik hi chaley , phir hum ney usko door say apnay nayee card bhi dikhaa diyee.
ub uskay paas bhi chara na thaa, or us nay humeen ticket bana hi diyaa...

or mazay ki baat , sara rasta na hi ticket checker ayee, na hi Karachi pohunch ker bahir jaatay waqt bhi humara kissi ney ticket check kiyaa..



baad meen hum ney , aik Achee see dairy ley ker , Karachi evening College ko Registerd parcell say shukriya ka khatoot key sath beyjee



Baad mee , chand sallon baad jub hum doubara tour per nikely , is duffa Naeem-ullah key sath , kiyoon keh Attique NED jaa chuka thaa , to hum khas tour per Pindi ja ker Karachi Evening College gayee,

magar pataa chaala keh wooh college band hoo chuka hey , or hum un sahib say jinhoon ney humari itnee madad kee theee milney say mahroom hi rahay...


or ub bhi jab hum us waqayiat ko yaad kertey heen to humaray dil say khud ba khud
unkay liyee duaeen nikaltee heen.



Comments