Pan ki peek

Uski makroo soorat or khabees hansi hum ko kafi arsay tek yaad rehey gi,
hum jub bus say utter ker sarak par ker rehey they , to hum nay usko sarak kay beech meen hairan o pereshan kharaa payaa , uski ankhoon meen ansoo they, kai andeshay thee , nakami or badnaseebi kay andheshoon kay ghanay sayee , baychargi or khuch na ker sakney ka shidat say ahsaas uskay saray wajood say tapak reha tha..

... hum is say pehlay keh khuch samjh paatay , humari nazar us makroo or khabees chehrey per peree , jo apnay ganday paan say lat pat dantoon say sath , gadhoon ki tarha dhancoo dhancoo ker reha tha or samjh reha thaa keh wooh hans reha hey or apnay kissi shandar karnamay per khush hoo reha hey.... bus ki khirkhee say nikla huwa us a sar khabasat ki tasweer bana huwa tha.....or ajeeb andaz meen peecha mura huwa ghair fitree andaz , misl e shaitan leg reha tha...



humari nazar doubara sarak key beech meen kharay nojawan per peree , uski safeed qameez , srkh huwi huwi thee, hum baysakhta uski taraf barhey , to jan meen jaan ayee, keh zakham naheen bulke paan ki peek hey.....jo bus meen beythey huwau us khabees insaan nay bahri piccharee hey or is kay kaprron per giree hey....

usnay beychargi bharee ankhoon say humari taraf deykha, or sirf itna kaha, 10 bajay interview hey , ...hum khud to gharee pehentay neheen hum nay us say time pocha to us ney 9:20 ka bataya uskay leyee ghar jaa ker kaprey badlna or phir dobara interview kay leeya janay ka matlub , waqt per pohunchna na mumkin tha...


wooh to bhala kerey Kissi sahib ka , jinhoon ney foren apna naya qameez uttar ker usay day deeya or uska peek zada qameez khud pehen liye , or usko apna patta bata diya keh interview say wapsi per unka qameez dey ker apna qameez wapus lay leen...

Itefaq tha keh aik bhala ehsas mand insan kaam ayaya...

Bus key dushwar hey ker kaam ka asan hoona
Aadmi ko mayser naheen insaan hoona. 

Comments