Pakistani ki akloti solar car

Attique Shafaat pakistan ka wooh mahi-e-naz beyta , jis ki is zamaney ney qadr na ki, or shayeed yehan say dilbardashta hoo ker hi america geyee.
Banda bohot zaheen tha, mechanics ka master,
loogon ko shayed maloom na hoo, magar wooh pehla shaks tha,jis ney Pakistan meen solar car banayee.
uskay final semester key project ka hissa thee, or hum daway seh keh sektey heen keh usnay yeh car tan tanha hi banayee hoogi, kiyoon keh usay sath key baqi do doosery bilkul hi gayee guzree they, shayeed unheen panay or hathoorey ka farq bhi maloom na hoo.
chey maheehey ki mukhtazar mudat meen yeh karnama usnay humari ankhoon key samney anjam diya.., ungli kar ker lahoo lega ker hum bhi shaheedon mee shamil heen, uski aik khas kism ki Rod hum ney unko dilwayee thee, yeh halkey almunium alloy key leykin high tensile rod they, jo wazan bhi sanbhal sektee they, or mazboot bhi thee.



Beher hal Qissa mukhtasar , Car tayar huwi , uska naam Solar Samba rekha geyaa....ismee S humary nam ka hey.A Attique ka , aysey hi baqi lafz bhi dooston key nam say leyee gayee.

.. aik dhoom much gayee, akhbarat, interview, TV, yehan tek key Zia-ul-Haq khas toor per NED ayeeya, or us Solar Car ka khud iftiteh kiya, yeh car , ya shayed iska anjer-panjer aaj bhi Ned University key Mechnical dept men rekha hoo.

... International level per bhi isko kafi pazeeraee milli, yeh aik aysaa karnama tha , jo Japan key illwa shayeed hi kissi asiayee mulk meen kissi key kiya hoo.

isee shohrat ki bunyad per , Australia say , unki mashoor-e-zaman or duniya ki sab say bari Solar Car rally meen unko bulaya geyaa... sara kharch Rally walay khud bardast kerney per tiyar they, Phir Zia-ul-haq nay bhi sponsor kiyaa.

Magar Bad qismati hey, is mulk meen Jalney walley khas toor per Beaurucray meen bohot heen, wooh kissi bhi talented shaks ko ubherta huwa naheen deykh sektey, sazishoon per utter attey heen 

huwa youn , jub woh teenoon lerkey, apna tamam saman bandh ker Australia pohenchey to wahan sarkari tour per unko receive kerney koi bhi naheen ayeeya.
Halankey wehan key akhbaroon ney bhi is ki numayean surkhi lagai thee, keh Pakistan jaisay mulk say, teen talib-e-ilmoon ney 6 mah ki mukhtasir mudat meen aik Car wooh bhi jo Suraj ki roshni say chaltee hoo banayee hey.

... .. Han chand maqami pakistani zaroor ayee, or kafi pazeerai ki unki, yeh Car rally pooray Australia ko uboor kertey hey, or taqreeban 10-15 din chaltee hey. Australia bhi aik bara mulk hey.

kheer kissi wajah say, rally meen 5-10 din ki takheer hoo gayee, inkay pas stay sirf 20 din ka tha, or yehan beaurucracy ka Kameena pen khul ker samney aa geya....
awal to wahan keh Pakistani counsulate ney inko sarkari toor per qabool kerney say inkar ker diyaa, or jub inhoon hey apni majboori batayee or stay 10-12 din berhaey ki darkhawast ki to unhoon ney mustard ker dee, keha keh aap loog yehan admission ley loo gey or wapus naheen jaoo gey..

majbooran inko rally adhi choor ker aani paraa.....!!

...... us saal us rally meen taqreeban 130-135 shurka they, Japan, Canda, Usa, or janey kehan kehan say unkay advanced Idaroon ki teams ayee huwee theen , aysee teams jinhoon ney hazaroon dollars kharch keyee they, or state of the art latest Technology istamal ki thee...
inki Solar car per 50,000 Rs bhi kharch naheen ayee they,sub sey mehengi cheez 24 Wat ki transformation battery thee, jo ghaliban 12,000 ya 18,000 Rs ki ayee thee.
Phir bhee jub yeh wapus ayee, to us waqt inki positin 40 ya 42 thee , or race key
8-10 din baqi they....

Sad afsoos , yeh yehan key loogon ki badqismati hey keh wooh , joo bhi talentd hoota hey uski Tang khencch leytey heen.

Her Rustam Apney Sohrab hi ko martaa hey
aysee fatah ka kia, jis meen apna ki khoon geyaa.



Comments

Post a Comment