Aik Arsa Lahore rehy , khaba khajaa bohot hey , per jo mazaa footpathiyee khanoon ka hey wooh kissi our ka naheen.
jub Chamberlain Road per they , to dopeher ko aksar "chikar chooloon " say lutf andooz hootey they ,mood banay to Dacter ki Niharee , wooh bhi sardiyoon meen ja ker khatey they ,itnee sardee partee thee keh mayz tak aatay aatey thandi hoo jaaati thee, to uska intazam maiz per hi burner laga ker kiyaa geyaa thaa , ...phir Sardar ki machlee , ya Hareesa , kabhi kabhi landa bazar meen hotel say Palak gosht , daal fry ya anda chooley , us hotel ki khas baat wooh coutner per sonf rakhtaa thaa , jo wapsi meen chabaty huway bara maza aata thee....wahan say wapsi per koney per moujood doodh ki dukan say peyray wali Lassi , Tabiyat khush hoo jaati thee ....
kabhi kabhi Neelay gunbad say Cram Chanp mangwatey they , or Itwar ko aksr ghar waloon key sath Diyal Singh Library key bahir say gool gappay khatey they .
Sham ko hamari wapsi key do route they, aik chamberlain road say utter ker food galli say hootey huway haal road , Masjid-e-shoda ....phir mal-o-mal Sectriat tak paidal .
Hall road per kafi fruit walay hootey they ,dopher ki garmi meen thandi barf per lagay huway aarooon ka masalay key sath maza hi khuch our thaa....phir raat ko H Karam Bakhsh key bahir aik chacha beythtaa thaa ......sekh kalejee , koiloon per bhuni huwi us kay haan say aksr khaatey they ...regal key dahi baray ko waisay hi mashoor heyn , goo mamoon ki icecream ka bhi naam hey , per humeen pasand naheen ayee.....
Al falah cinema key bahir say bhi anda burger khayaa , per maza naheen ayeeyaa.... Masjid-e-shoda key peechay chooley walay say suna ney Nawaz shareef bhi khaata thaa , so wooh bhi chakaa , bus ghaneemat hi hey ...
doosra route , Cirular road say via Shah Alami moor bhatti tak hoota thaa. urdu bazar key bahir sardiyoon meen aik chacha Pathoorey lagataa thaa , aksar parcel kerwatey they , ya phir Bhatti per aik Massi beythtee thee ,jis key pass Makai ki rooti , saada rooti or sarsoon kaa saag miltaa thaa , aksar Urs key zamanaoon meen Katlama bhi noosh kiyaa .
Rehaish Dubai chowk per thee , or wooh to khanoon ka markaz thaa........Qadir ka burger , per Bhai bhai key aagay aik sahib sham ko Shuwarma lagatey they , Mazjid key sath Afghani tikkey walay aa gaye they , peechay gali meen Karachi key chootey samoosay bhi milney lagay they...
Bundu khan , wahan say uth ker Rahim Store key sath aa geyaa, thaa..to aksar us kay Bihari Kabab khatey they , Qadir Burger key samney aik sahib suzuki meen chineeze , teen char tarha key Rice or do teen taraha key shashlik waghaira laanay lagey they .......wahan hi aik neyaa trend shiroo huwaa thaa yeh Salad kaa thaa... Salad key bar kafi lag gayee they , or aap apni Marzi say mukhtalif cheezeen dalwa ker man pasand Salad combination bunwa leyn.
Barkat Market say Bangali key samoosay , or us key peechlee taraf kay Dahi Bhaley khanay to loog door door say aatay they ......Model Town extenstion say Model town meen dakhil hoo ker .......Extention say jub aap ander aatey hoo to dayeen taraf doosraa.....Asl Bhiyaa kabab wala hey
uskay samnay aik Gali hey .........jis meen wooh apni meyzeen lagaata hey ....baqi wahan ub to 8-9 usee naam say kabab beychtey heyn..
uskay samnay aik Gali hey .........jis meen wooh apni meyzeen lagaata hey ....baqi wahan ub to 8-9 usee naam say kabab beychtey heyn..
uskay kababoon ki khasooiyat , jub hum ney pehli dafa khayee to hamary dost ney 4 darjan mangwayee ...hum hairan huwya ....per rootioon key aanay tak wooh sub key sub khatam hoo gayee......jis meen say aksr hum hi neykhayee thee....or hamara dost sirf muskura raha thaa...baad meen 4 darjan our mangway tah keh rooti to khaayeen ... phir us kay sath Thah Thah Cola , wah ...
Ganayka rus jaisay Lahore meen miltaa hey our kaheen naheen , Libertey ka mashoor hey , per wooh barf ziada lagata hey , asl to Qazzafi Stadium key pass do beythtey they unka hoota hey , adrak dal ker ........thand per jaati hey ..... Libertey key Gool gapay mashoor heyn ........4-5 beythtey heyn ....per sirf aik key achay hootey heyn .......Libertey kee ice cream bhi mashoor hey , us kay samney phooloon waloon key barabar gali meen say Kabab roll or booti roll miltey heyn ....akhir wala Karachi key alsi ....Tariq Road ...walay jaisoon ka maza deytey they....
Jub Pace neya naye bana thaa...to Hafeez center say nikal ker wahan chaley jaatey they , doosri manzil per Turkish dishees mill jaati theen ......99 ka world cup wahan hi aik bari screen per deykhaa .... sham ko Muslim Masjid key samney say 27 number ki wagon pakartey they .........jo seedha Hafeez center utartee thee..
Ubhi hum ney mazag chungi key machlee , Open air theatre meen daramay key interval meen Sekh Booti thandi bootel key sath , Icharay ki Lassi , Wahdat road per Lahore Broast walay ka Fish Broast , or uskay samney Kata kat ka to zikr hi naheen kiyaa... Ramzanoon meen Barket market say Bangali key chickn roll , or University key bahir say Dahi Bhalay ley ker jaatay they ..
ubhi to Shadman , or Samn-a-abad ki chaat bhi reh gayee... Samoosay or Machli Pakooray bhi reh gayee.... or kissi qism key Fast food or chinese ka to zikr hi naheen kiyaa.....na hi anarkali ki biryani or Haleem or matka gosht kaa ..na hi ......na hi McLoad road per mutadid khanaoon ka jis meen wahan ka broast , Desi chickn ki karahi or Murgh chooloon ka .... na hi Lahori charghay kaa .........
Na hi Fortress stadium kee Baloch Saji kaa...
..........itna Khaba khajaa key sirf un khanoon key naam say hi yeh post bhar gayee hey..... or humeen ehsas hey keh bohot see cheezen reh gayee heyn.
baqi phir kabhi sahi ............ub Karachi key footpathiyaa khanoon key baray meen likhney ka sooch rehey heyn.
Comments
Post a Comment