Hum Plaza flats meen rehtey they ,Marie Colaco key perhey huway heyn, Marie Colaco ub key Naz shoping center pehley key Naz Cinema key peechey hoota thaa...hum aksar wahan say Bunder Road per nikaltey phir sarak crass ker key Rimpa Plaza key sath sath ...apnay ghar jaatey they.
Rimpa Plaza say pehley Tram Goodi hooti thee...yeh Karachi meen chalney wali trams ka Ada thaa.. Petrol pump key barabar aik Chacha beythtaa thaa.. is say hum ney pehli baar Kathiwari chooley khayee they...Hamaray school key bahir bhi Alo chaat walay , Ganda Golay walay , bhuni huwi makayee walay or Kulfi walay hootey they .... chachay key sath kabhi kabhi aik Massi bhi aa ker beythee they ...iskay paas aalo kachaloo hootey they ..........aaloo kachaloo hum ney Sindh Madrsay key bahir say bhi bohot khayee .. Purana Karachi masln Lee Market , Burns Road ,New Chawli , Jubliee , ..waghaira aaj bhi aysay bohot say khanoon key liyee mashoor heyn.
Sham ko hamaray mamoon humeen MF ki icecream khilaney ley jata kertey they .... yeh moujooda burns road per urdu bazar key baad aik dukan , jo ub printers key repairing ki dukan bun gayee hey meen miltee thee.....sheeshay key gol piyali meen sabz sabz....bohot mazay ki hooti thee
Phir hum Nazimabad aa gayee , to yehan doodh bootle meen aata thaa , doodh walay ki dukan Hamdard key factory key peechay hi thee.... hum aksar bahir paree bootle ka dhakan khool ker aadhi say ziada bootle pee jaatey they or phir dhakan bund ker deytey they.........or daadi aksr doodh walay say shikayat kertee theeyn keh wooh doodh meen dandi maarta hey ... or wooh qasmeen khaata thaa...or kehtaa tha keh shayed Billi pee gayee hoo gee...per is bat ka jawab uskay paas naheen hoota thaa keh billi phir dhakan bund kaisay kertee hey...
yehan Govt college key gate key bahir kafi qismoon ki cheezen milttee theen , 72 key baad kafi bangali aa gayee they , unki speciality aik to Lal Badam hooti they , or dousra jala badam .... Lal Badam ub Karachi meen naheen miltaa pehlay her school key bahir say ba asani mill jaata thaa....Hamaray ghar meen uska aik peyr bhi thaa....phal bhi aata thaa.......phir janay kaisay wooh peyr sookh geyaa.
Hum aksar Premier College key bahir Nalay per lagay huway peyroon say beyr toortey they ..........pehlay Nazimabad meen jagha jagha beyroon key jhar mil jaayaa kertey they to yeh beyr to muft hi khatey they....
walid key chacha North Nazimabad meen sabiqa Sughra Bai hospital ke peechey rehtey they .......aksr wahan chaley jaatey they, sham ko wahan say Haidry jaatey or wahan say , kabhi Pani puri, kabhi bohriyoon key samoosay , pikouray or dal chana , alloo chana ............Bheel Poori , Kachouriyaan waghaira laatey they,...............Kachouriyaan waisay Juna market ki achee hooti theyn , jo keh Walid sahib farmayeesh per latey they....
Jub Walid sahib key daftr jaatey to wooh Nigar cinema kay paas say , hamaray liyaa khas tour per Bhuni huwi chanpeen mangwatay , sardiyoon meen Subz chai walay market meen phirtey they......yeh apni peeth per aik bari see surahi bandh ker ....us meen say chai pilaatey they....inheen " Pawali " kehtey they...
iskey eelawa , Memonoon key Dal chawal bhi bohot khaee...... aik zamanay meen Haidry key peechey , jehan ub United Bank hey , Khuch Madrasi aa ker rehey ....to unhoon ney ghar meen Madrasi khanoon ka khabaa khol liyaa.. Idli , Doosa , or Sat daloon ki our dish , achar or chatnee key sath ....chooti choti poriyoon key sath aksr parcel kerwa ker ghar ley jaatey they..
........ub to shehr ki her street food street hi hey taqreebn.... jehan hamari kholi hey , wahan say humeen.... 4 tarha key Tikkey, bootiyaan, kabab, 4 hi mukhtalif Nihari walay, 7-8 bun kabab walay , do machli walay , 3-4 biryani walay , Kathiawari chooley walay , Gola ganda walay aik shuwarmay wala ... mutadid samoosay or pikooroon walay , kai Pathanoon key chai key khookey jehan say Anda Puratha raat ko or Chana Puratha subhn suhab nashtey kay liyee mill jaata hey... .... sardiyoon meen kafi saray soup walay bhi aa jatey hey, jin key chickn corn , or Mix Vegitable , or hot and sour soup ka zaiqa alg alg hoota hey , is key eelawa ... Pizza shiza bhi mill jaata hey...Niharai or Haleem bhi mil jati hey , Qorma dal chalwal , Karahi ,waghaira ki bhi dukaneen heyn...........
aik dafa ...........Sadr meen Lassi walay key haan say Pasanday khayee thee.... fry ker key.......... Sirkay or hari mirch key sath , ...........ub jub wahan gayee to lagtaa hey dukan uthaa geyaa...kiyoon key ub wahan China Mobile or electronics walay beythey heyn..
Burns road to waisay hi khanay peeney kay liyee mashoor hey , Sindhi biryani , dahi baray Qulfa khoyaa or barfi wali Qulfi , Nihari ...........kiyaa baat hey...
ub to burger , anda burger , bun kabab , french fries key sath kai jagha say mill jaata hey , Tariq Road key Roll or Fish and Chips , ...........ub ka patta naheen per New Town Masjid key neechay say Shareefay ka Shake kai dafa piyaa... wahan aik sahib ney sea food ka kaam shiroo kiyaa thaa....phir chalay gayee....ghalibn itnaa kamiyaab na huwaa...
Behari kabab to Agha Juice house Nazimabad key samnay aik Chacha lagayaa kertaa thaa...........loog dour dour say aatey they....biharai kabab ub to Bar B Q waloon ka aik item hoo geyaa hey .........per us jaisa Zaiqa kahan....
ub wooh eelaqa ghair mehfooz hoo geyaa hey soo wahan jana choor diyaa.. halankey buchpan to hamara taqreebn sara ka sara Nazimabad ki galiyoon meen hi Guzra.... kiyaa aik number kiyaa Gol market kiyaa 4 number Hadi market .....hum hootey they or Shahid Sport say lee huwi kirayee ki cycle...
Liaqat abd Dakhkhaney key pass say Machlee ka kata kat miltaa hey , or behtereen hoota hey , kharay masalay wala .... Nazimabad Chowrangi per Mr Burger naya naya aayaa thaa.... chips key tiyar hoonay ki soondi soondi khushoo key liyaa hum khamkhawa meen wahan ja ker Rs 10 key chips ka arder deytey they , or phir ahista ahista ketchup key sath khatey they...
Eid per mukhtalif marketoon meen Food meyley lagtey heyn....hum wahan say shuwarma leytey they .... aysay key uska masala alg , bun alag or chicken alag ....cheen chaan to kertey they , per jo khali hoota thaa...wooh kehtaa tha keh chaloo gahak to hey... phir us kay chicken ko chapati key sath , apnay aik makhsoos salad key sath khatey they ....yeh salad hum khud banatey heyn... susta , umda or zaiqe dar.... bus do tamater leyn....Aik shimley ki mirch , thoore see hari mirch , Gajar piyaz or kabhi kabhi gobhi ....sub ka sub bareek kaat leyn....or dheyr saray sirkey meen dal ker achee taraha mix ker leyn....salad tiyar... isko aap shami kababoon say ley ker , anda fry omelayt or biryani tak key sath kha saktey heyn.... aam tour per Rs 10-15 key andr andr sara saman aa jaata hey or Salad kafi chaltaa hey , kam iz kam 3-4 din mukhtalif khanay key ookat tak.
Karachi meen Variety bohot hey , bus talash kernay ki ankh hooni chahiyee... sub milta hey or sub chalta hey..... Sustay say sustaa or mehengay say mehga..
hum Rs 25 meen aik waqt ka peyt bhar ker khana bhi khaa saktey heyn or Rs 3000 ka sirf Apetizer bhi kissi darmiyany darjey key Burger Hotel joint sayKarachi ki sub say mn pasand dish Biryani hey , hum ney raat 2 bajay bhi sahil-e-samundr key Biryani Center per rush deykhaa hey , halankey aas paas ka sara eelaqa bhayeen bhayeen ker rehaa thaa....
Sahil-e-Samunder per machlee bhi achee miltee hey ,jo aap wahan takhtoon per beyth ker khaa saktey heyn
Suna hey Mai Kolachi key pul key neechay aik bohot baray Food Centre ka mansoba thaa , pata naheen kiyaa huwa......humeen to wahan ka hindooon ka mandr hi yad hey, jehan Zia key zamanay meen Rozay dar jaya kertey they...tah key unki Poori kachooriyan khaa ker , aglay rozay ki tiyari ker sakeen , yeh our baat hey keh yeh Roza dopeher say shiroo hoota thaa..
agay Yar Zinda sohbat baqi ....phir kabhi sahi.
Comments
Post a Comment