Aaj Humeen Ilm Din Milla thaa..
Hum ney us say kahaa... Janab Tali doonon Hathoon say bajtee hey....
aap kiyaa kehtey heyn.
khuch deyr sir jhuka ker beythaa rehaa , phir kehney lagaa.... Agar aap ko aap ki Bewi aik din Nashta na dey , keh Us din Nashta us nay mangwayaa hoo..
yaa doo din , tak aap bukhar meen taptey reheyn or koi aap ko Pani bhi na dey too aap kiyaa kareen gey....??
Hum chup rehey, hum ney us say kahaa ........humeen chooreen yeh batayeen aap ney kiyaa kiyaa...??
..kehney laga..... Musebet meen sayaa bhi sath choor deytaa hey, hum ney sirf Sabr kiyaa......
or us din key baad say Nashtaa Bahir aap key sath hi ....isee Pathan key hotel per kertey they...... or raat ko apna khana sath ley jaatey they....
subha us waqt tek kham khawa meen bister meen leytey rehtey they, jab tak Zooja Mohterma apnay Kam per chaali na jateen, unki zooja mohtermaa .... kissi schoool meen bachoon ko perhanay lagee theen....... or wapusi kaa to aap ko paata hi hey, yehan kam say faraghat hi 11 ..... 11:30 tak hootey hey ..... taqreebn 12 bajey ghar wapsi hooti thee...
Walida mohterma , ya Behn darwaza khooltey they.... zooja Mohtermaa ....soo chukee hooti theeyn.
shiroo meen aik adh din, thandaa saln , meyz per thandi , sookhee roooti key sath paraa hoota thaa, per jab say hum apna khana khud laney lagey ....baad meen wooh bhi naheen... khanay key baad hum apnay barten khud dhoo ker sootey they...
Haan , us din key baad say Hum ney her kissi say baat cheet bilkul Band ker dee thee........
.... or hum soochney lagey...... yeh Insan ...kiyaa waqai itnaa sabr wala hey......shayed apnay aap ko bund ker key us ney sub key sath zulm kiyaa ......aurat tawajuh chahtee hey ...........jo is ney deyna bund ker dee.... or phir shayed saray darwazay bhi band ker diyee ...... darwazay khuley hoon to rasta bantaa hey .....warna pather kee dewar say to sirf sir phora jaata hey
magr jab tak.... unki zooja mohtermaa ka rukh samney naheen ayee gaa... kiyaa kaheen..
Hum chup hoo gayee...... or Ilm Din say kaha...... chooren chai piyeen .....
Paisay Hum deyn gey...
Or Ilm Din maine-e-khaiz Hansi hansney lagaa...
NOTE : yeh waqiyat 2008 key heyn ...uskay baad kai dufa ilm deen say mulaqat huwi hey ...jis kaa ehwal agay batatey reheyn gey...

Comments
Post a Comment