hum ney gari chalana , ramzan meen seekha, yeh ramzan ki barkateen hi theen, jis ki wajah say, muft ki aik gari haath aati thee , or hum sub , us per mashq kertey they.
hoota youn tha, ramzan kay maheeney meen tarawiyaan perhney , poora ghoul ka ghoul jaya kertaa thaa , shiroo shiroo to poori bees perha kertey they, phir , jub say maloom huwa keh 8 kafi hooti heen , to aath per ker , baqi kay mashaghil meen leg jaatey they, jis meen , Mullah per jaa ker Niharai khana, " teeri -papa " kheylna or aisay hi awara gardi kerna shamil thaa.
Guddu ney kaha , aisay to waqt ziayee kerna hey , khuch kam ki cheez hooni chahiyee , to soocha gari chalana seekhna chahiyee , ub gari kahan say ayee, sardiyon key din they, raat jaldi or gehri hooti theee, 9 bajay key baad hi hoo ka alam hoo jaata thaa ,
aisay meen , ham humeen bhool geyaa hey , Faheem sahib key Kiraya daroon ki gari per nazar paree , unkay ghar meen garage tha naheen, so unki or unkay kiraydar ki gariyaan bahir gali meen khari hooti theen, ub faheem ko sath mila ker faheem ki gari to istamal ker naheen saktey they, so usko behla phusla ker unkay Kirayadar ki gari istamal kernay per razi ker diyaa , per us nay shart rakhai keh Patrol khali na hoona chaiyee,
so eemandari say sub, hasb-e-toufiq ropee do rupee ka hissa daltey they, to aik adh galoon patrol dalwanay per baat tey huwi ,
ub hum kertey aisa they ,keh tariwiyaan perhney key baad , khuch deyr , Professor sahib key makan key bahir thaley per beith ker intezar kertey they, phir moqa deykh ker , Fahim sahib key paroosi ki gari ko aihista ahista dhaka dey ker , gali key kooney tek ley jaatey they, phir , Guddu hoshiyaar thaa , usko gari chalana bhi aati thee, or baghair chabi key sirf taroon say gari start kerna bhi , soo gali key koonay per pohunch ker , jub gari nazroon say oojhal hoti thee, start kertey, Petrol pump jaatey , petrol bharwatey , or North Namizabad Block " L" key maidain meen pohunch jaatey.
wahan khulay maidan meen , sub key sub Guddu ki ustadi meen bari bari gari chalaney ki masshq kertey , or do teen ghantey baad guddu gari challa ker wapus ley aata, hum phir gali key kooney per , gari rook ker, dhaka dey ker , gari ko uski jagha per khara ker deytey.... aisay dus pandra din to challa , Fahim key Kirayadar kafi hairan hootey they, keh aksar gari ka petrol barh chukaa hoota thaa, or baaz dufa gari apni jagha say hilli huwi bhi hooti thee, or unko samjh naheen aati thee keh aisay kaisay hoota hey.
Oor aik din , sub achee batton ki tarah humaray is , sekhnay key amal ko bhi khatam hoona thaa, huwa youn , keh aik din , wapsi per , hasb-e-mamool jub ghari ko dhaka dey ker uski jagha per khara kiyaa to ULTA khara ker diyaa .
Ub subha to toofan aa gayee, Kirayadar sahib ney to pooray mohalay ki meeting bulla lee, kehney legay, rat ko to gari meen petrol khatam hoo geyaa thaa, aaj subha is meen to achaa khaasa petrol hey, or raat ko to engine ka rukh gali key konay ki taraf thaa, ub uski ulta taraf heey, zaroor yahan koi jib bhoot heen.
so chowkidar ki shamat ayee, per afreen hey , jeedar or samjhdar aadmi thaa, halankey jaanta thaa, per us ney kissi ka naam naheen liyaa , laikin aglay pooray aik huftay bulkey ussay bhi ziada arsay tak, Faheem key kirayadar sahib ney bahir hi kursi dalwa lee, or apny bhai key saath , pehra deyna shiroo ker diyaa...
hum loogon ney bhi , az-ra-e- hamdardi is pehray meen unka saath diyaa, per phir unka masumum irada deykh ker , soocha keh ub aagay dal naheen galnee , soo umeed choor dee.
waisay bhi ramzan khatam hooney ko ayee they , or sub Eid or uskay baad key mashaghil meen leg gayee.
per us ramzan meen ramzan ki barkat say , kafi larkoon ney gari chalana seekh lee.

baqi rehey naam allah kaa.
Comments
Post a Comment