Satween athween jamat meen humeen " Turam Khani " ka shouq cherha, hum nay hazb-e-riwayat school say Tulla Marna shiroo kiyaa, do char dost sath akhety kiyaa , or kareeb kay park meen aik Bench per qabza ker liyaa, per wooh qabza sirf school time tek hi hoo sakta thaa, kiyoon key us kay bad humari tooli bikhar jaati thee, to sub wapus ghar chaley jaatey theey.
Asad Junaidi bhi sath hoota thaa, us nay aik din hum say kaha keh " Tishan " Bazi kay liyee cigrete bhi peena zaroori hey , so hum nay aik qareebi khookhey say aik cigrete khareeda, pata naheen usnay humeen Bagla marka day diyaa ya K2 , per uska dhowan humeen bilkul bhi ahcaa naheen lega , sath hi khansee bhi bohot huwi, soo hum ney Asad say keha, cigrete kay baghaiyr bhi kaam chal sekta hey.
per Asad Badmashi per utter ayeeya kehna lega Peena peray gaa , ub humeen zid hoo gayee , hum ney kaha pilla ker dikhayoo , usnay zabardasti ki koshish kee, per humara dail dool us say ziada thaa, so nakam hoo geyaaa , kehney laga , aaj naheen to kal to tou zaroor piyee gaa, soo humari us say Shart lag gayee.
hum apni zid kay pakkey heen, soo Jab tak School meen rehey, Zid meen aa ker kabhi bhi cigrete naheen pee.
Nasir jo humaray sath hi hoota thaa, or humaray hi mohaley kaa thaa, per usko adat hoo gayee, pehlay pehlay khali cigrete peeta thaa, phir janay kahan say cigrete bharney legaa , aksar rat koo apnky ghar kay peechay wali Kooray ki gali meen beytha payee jaata , aisay keh na zinda na murda.
uskay walida bohot rooti theen, uskay doostoon ko galiyan deyteen theen, per wooh to humari doosti kab ka choor chuka thaa, jub say Bhari huwi cigrete peeney lega thaa, janey uskay koun dost ban gayee they.
humeen usper or uski walida per bohot taras aata thee, or phir yeh reputation ka mamla bhi bun geyaa thaa, so sub doostoon ney mil ker uski jasoosi shiroo kee, to pata chalaa keh , aik Chooley wala aata hey, Govt School key samney, or pehlay bachoon ko cigrete or phir bhari howi cigrete deyta hey .
hum mohalay kay Rafiq Bhai key pass gayee, or usko sara mamla batayaa, to aglay din wooh choolay wala rangey hathoon pakra geyaa, per Rafiq Bhai ney koi police wolice naheen bulayee, bulkey , khud hi apnay tamam sathiyoon key sath mil ker , uski wooh pitayee kee , keh wooh bhag geyaa .
Rafiq Bhai , ilaqay kay Bhai they, soo ayeenda kabhi nazar naheen ayee, magar koi afaqa naheen huwaa, kiyoon keh un Nasir Gujar nalay kay paas say keheen say laanay legaa. or Rafiq bhai ka zoor Gujar Nalay key illakay meen naheen chaltaa thaa.... phir bhi Rafiq bhai ney wahan key Bhai say bat kee magar khush huwa naheen , or Nasir Bhari huwi cigrete pee pee ker do-teen saal meen hi mar gayee
ghaliban kissi din bohot ziada pee lee thee,
usdin ki kiyaa per kai maheenoon tak, mohalay meen loog ufsoos kertay rehey.
is baat ka hum per bohot asr huwaa, or hum ney na sirf cigrete say bulkey " Turram Khan " bananey say bhi touba ker leee...
waisay bhi jum hum dasween meen ayee , to Ilaqay meen Rizwan , Rafiq Bhai ka baqaida Jan nasheen bun chukaa thaa,
or hum waisay bhi school say nikel ker college meen aa chukey they ,or college ki duniyaa hi alag hooti hey...
baqi ayenda phir kabhi.

Comments
Post a Comment