Plaze A or Plaze B men humary flatoon kay neechy ,or aas pas her qism kay loog rehtey they, Sindhi, Hindu, Christian, Parsi, Kathiawari,Chinioti,Chakwali,Aga khani,Bengali, ...her qoum key loog .
Plaza kay aas pass ka poora illaqa,Cinema Gharoon say bhara huwa tha,or rooz sham ko kafi chehel pehel huwa karti thee, yeh chehel pehel , aaj kal kay Harbarong bagham bhag or bay wajha Istrabi Khalanshar say mukhtaleef hooti thee.
Humaray Flat kay bilkul neechi aik Parsi Family rehtee thee, unki bachee meyree ki class meen perhtee thee, Walid sahib ney Ghoora Gari lagwai huwi thee, or hum doonon usee ghoora ghari meen akhetey school aya jaya kertey thee.
Humaray Flatoon key samnay aik Plat khali thaa, baad meen us per bhi aik Plaza baneney to us meen pani kay leeya unhoon ney aik talab sa banaya, or rooz sham koo hum doonon us talab meen jo keh ziada gehra naheen tha.... maindak kay bachey , machleon kay bachey samjh ker apni apni sheeshay ki bootloon meen bhar ker ghar latey they...
or har saal Norooz kay moqay per hum us say sath seerheyoon meen beyth ker uski walida kay darwazay kay agay rang barangay chalk say banayee huway khobsoorat design ko deykhtey or khush hootay they.
Na maloom raat kay kiss peher , uski walida yeh kaam kertee theen, kiyoon keh sham ko to wahan khuch naheen hoota tha, magar aglay din , jum bum School kay leeye uttertay to wahan unkay darwazay kay agay yeh khoobsoorat phool bootay humeen bohot achey legtey.....our hum bohot ehteeyat key sath guzertey keh unper humara paer na perhey or wooh kherab na hoon...phir school say wapsi per hum seerheeyoon meen beyth ker uski hifazat kertey they.
Doosri manzil per aik christian family rehtee theee, unkay doo ya teen bachey thee, humeen sirf Dennis or veeno yad heen, veeno ka asal naam najaney kiya thaa, mager unki walida veeno ki Maan kay naam say tamam flats meen mashoor theen....
Janey kiya huwa, veeno kay walid ka inteqal hoo geya, kafi loogon ka aana jaana reha, .... phir aik din , aik Father bhi unkay ghar ayee, kafi deyer tek beythey rehey...maeloom huwa keh church ney unka kharcha bandh deeya hey, kiyoon keh ub unka koi kamaney wala naheen reha.
Dennis kay baray bhai ka naam hum ko Yad naheen, mager wooh hum say kafi bara thaa.
aik do saal kay baad, veeno ki Maan , meyree dadi kay paas ayee or keha, keh wooh unkay sath Church chaleen, koi zaroori kaam hey.
meyri Dadi bhi Flatoon meen rehney waloon key dukh dard meen her waqt shareeq hooti theen , isleeye her kooi apnay masail ley ker unkay paas a jaya kertaa tha.
Sham ko jab dadi wapus ayeen to unhoon ney bataya, keh veeno ki maan ney Church ko aab kharcha deyney say mana ker deeya hey, kiyoon key Denis kay baray bhai nay taleem mukamal ker key, noukri ker lee hey...our ub wooh chahteey heen keh church yeh kharchi ub kissi our mustehiq ko day.
...eemandari keh yeh Misal, humeen aaj tek, mutasir kiyee huway heey, or hum bara bool naheen boolen gey, mager is misal ney humari ayenda tamam zindagi per bohot asr kiyaaa.
Bad meen inheen bad naseeb ankhoon nay , Zia ul haq key dour meen , Eidgah Jamia Cloth key Nazim-e-Zakat kooo apny Bewaa key naam Rs 300 ki Zakat legatey deykhaa...
Sad afsoos aysay muslmanoon per , joo sirf 300 mahana key leeyaa apni hi zouja ko bewaa zahir kerney say bhi sharminda naheen hootey...

Comments
Post a Comment