Rickshay wala achanak rickshay say nikal ker bhagney laga , phir khuch door ja ker ruk geyaa , sub loog jama hoo gayee , maloom chala , koi spark huwa thaa, or wooh yeh samjha keh khuch phatney wala hey , is liyee rickshaa choor ker bhaga thaa..
akhir is mulk meen ub aisaa hoo sakta hey ....
is per humeen apnay bachpan ka waqia yaad aa geyaa, pehlay Govt College Nazimabad key donon darwazay khulay huwa kertay they, ub to wahan Sind Sports Board aa geyaa hey, to joo uska Main road wala darwaza thaa, wooh ander gali meen nikaltaa thaa, or aksar loog , Buss stop say uter ker Govt College kay ander say hootay huway gali meen ayee kertay they,
aisa aksar rickshay walay bhi kiyaa kertay they, hum loogon ko shararat soojhee, Nadeem jis ka rang thoora sa ziada hi gandumi thaa, usnay thooree see our polish moun per lagai, and safaid rang say apnay hoontoon per lip stick see lagai, apni walida ka burga pehna , or Govt College kay ander Govt Schoot kay Park key kooney per khara hoo geyaa , usee rastay say Namazi bhi guzartey thee, Maghrib key baad ka time thaa , per ubhi Isaa ki azan meen deyr thee, so Namazi us waqt koi naheen thaa.
shoomi'e'Qismat , aik rickshaay wala ander aa geyaa, Nadeem jo keh burqay meen thaa us ney uskoo hath dey ker rooka , or ruknay per beyth geyaa , or chalney ka isharaa kiyaa , Rickshay walaa bhi baghair poochay chall peraa, janay kin khiyaloon meen thaa, per jaisay hi bahir Gali meen niklaa , khiyaal ayee keh sawari say poochoon to sahi keh jaana kahan hey, jaisay hi peechay muraa poochney kayliyee Nadeem ney apnay Burqay ka niqab ult diyaa, or aik theeli aagay barhatay huway us say boola " Mong Phali khayee gaa...."
ub siyah chehraa, or safaiyd hont , opper say safaid safaid dant , uskay to hoosh ur gayee hoon gay ..
Ricksay say nikal ker aisee bhagat bhaga keh Shahid sports per hi jaa ker dam liyaa.... magar phir peechay say larkoon ka qahqahoon ki awaz ayee, to wapus ayee , itney meen Nadeem ney bhi Burqa utar diyaa thaa, or larkoon say kharoo hoo ker hans rehaa thaa.....
wapus aa ker , itnay saray joo larke deykhey to , larnay hi to himat shayeed usay na huwi hoo, bus yeh keh ker key meyri to jaan hi nikal dee ....., Hum samjhaa koi churail hey ....................... wahan sa apna rickshaa ley bhaaga......
bad meen gali kay aglay kooney per , kafi deyr kharaa rehaa, ghalibn apni sanseen durust kerna kay liyeee.....
... us per Fouzi ney Nadeem ko mana kiyaa, keh ub mazeed aisaa na keray , kiyoon keh aisay shock say koi bara nuqsaan bhi hoo saktaa hey...
per Nadeem na mana, magar ub beykaar hi thaa, kiyoon key larka bhi ub uskay sath hi jaa ker kharay hoo gayee, or usko " Bad tameezi key sath " cheyrney lagay.... our majbourn usko ghar wapus aana para...

Comments
Post a Comment