Hum to kuchey peckey namazi heen, or yeh such hey, baaz duffa masjid meen allah mian say ziada hum apni chapeloon per dheyan rekhtey heen.
Phir Allah mian say dil hi dil mafi mangtey heen, or us say kehtey heen, tujh ko to bayshumar loogoon key beyshumar namazeen mil jaeen gi, humari adhi kachi paki milley to darguzar ker dey.... or too to waisay bhi chapel naheen pehenta hoo gaa...
Phir Allah mian say dil hi dil mafi mangtey heen, or us say kehtey heen, tujh ko to bayshumar loogoon key beyshumar namazeen mil jaeen gi, humari adhi kachi paki milley to darguzar ker dey.... or too to waisay bhi chapel naheen pehenta hoo gaa...
Magar humari chappel gayee too,.... is karaktee dhoom meen adha kilometer , nangey paoon janey ki shayeed hum meen himat na hoo, or hum jaisay kuchey insaan, kissi our ko nangey paoon na ker deeyen , or duaoon ki bajayee bad-duaoon say daman na bhar jayee , to yeh ghatey ka sodaa hoo ga, lehaza humara apni chappeloon per deyan rekhna, bajayee teyri ibadat per, ko majboor ki majboori samajh ker , maaf naheen to nazar andaz ker dey.
han yeh theek hey , humara buchpun hangama kheez tha, or hum usee munazbat say duniya key sath bhi chal rehey they, per zindagi meen baz aysee maqamat aa jaatey heen , jehen say aapki duniya badal jaati hey.
loog kehtey heen duniya ki zindagi beysabati hey, na koi apni merzi say aata hey, na hi apni merzee say jaata hey, na uska apni peydaish per ikhteyar hey, na mout per.
humari zindagi meen bhi aik aysa mor aa chucka hey, ... qissey kehanion meen likha hey , us mor key baad loog chak-e-geriban ker key jungloon meen nikal jaatey heen.
humara khoonta to aab tek yehan hi garha huwa hey.
kheer yeh ub purani bateen heen, hum to ub sirf baqi zindagi khamoshi or sakoon say issee baytaluqi say guzarna chahtey heen.
bucchpen ki khuch yadeen, mazi keh khuch dereechey, hum loogon key liyee naheen apney aap key leeyea kholtey heen , dhundh say ubhertee huwi tasweereen humeen waqt guzarney meen saholat farham kertee heen.
Kamyabi , Nakami, mustaqil naheen .. aaj hey, kel naheen , phir duniya agey berh jaati hey, yaad bhi naheen rehta
kabhi likheen gey, gar himat huwi too, filhal , hum un takleef-deh yadoon per , waqt ker Gard dalna chahtey heen, nishter shayeed kund hoo jayee, zanj allod hoo jayee to choot shayed kem legey.
Humeen maloom hey, yeh nishter humeen aik bar phir khana hoo ga apney liyee hi sahi,
magar ubkey humrey ikhiteyar meen hey keh Kub.
wooh yadeem
mujh ko bulayeen
wooh yadeen
mujh ko rulayeen.
Comments
Post a Comment