Khuch Tazkara Tarawi ka or khuch Aloo gosht kaa.

rozay to pooray hi hoo jaatay heen , ub to 6 roza tarawi , 10 roza tarawi , or jani or kitni hasb-e-zaroorat mukhtasar tarawi sessions, key zariyee aik maheenay ka kaam in meen hoo jaata hey,
quran khatam kerna hoota hey, so wooh 6 din wali tarawi ki nishist meen ker leyen, baqi sara maheena , baqi kaam ker leeyn....... ziada josh cherhey to 10 roza tarawi jis meen , tilawat or tarjuma hi hoota hey , wahan chaley jayeen .


khair , kiya sahi hey kiya ghalat, maqsad to ibadat hey, or uskay qabool hoonay ki aas , so wooh to tamam umer hi rehey gee , bay niaz hey , jab marzi hoogi qabool ker ley gaa duaeen , or poori ker day gaa hajat , chahey qabar meen latkey huway paoon nikalney ka bhi waqt na milley ....

chooreen , ramzan ki barkatoon sey faizyab hoon , or sub kay liyee khaloos-e-dil say achee achee duaeen kereen, hum bhi aisee hi duaeen kernay ki koshish kertey heen, phir dil hi dil meen apnay aap say sharminda hootey heen, kiyoon keh humari duaeen qabool naheen hooteen, khair mustakbil ka patta naheen , ub tak to naheen huwaeen , ziada shikayat ker naheen saktey , janey ken , nazar-iltafat humari taraf hoo , or khuch aaas poori hooo ....


humari duniyaa to baqi loogon ki tarah umeed per hi qaim hey.

XXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXX

 Aloo Gosht

aaj kal sub khuch readymade per guzara hey, fast food,
our hum ney note kiyaa hey, akeylay aadmi ka liyee wooh sasta bhi perta hey ...

Rs 60 ki qormay ki plate say baz dufa to teen time ,ya do din aaram say guzara hoo jaata hey , bus Nan rooti garam laani perti hey, or fridge say nikal ker doubara garam kerna perta hey,....


wagarna aik admi kay liyee khud say bananay beythoo to Rs 100-130 ka kharcha hoo jaata hey , teen time kay khanay kay liyee....   





or phir , bazar ki professional andaz say bani huwi jaisay her koi bana bhi naheen sektaa...

kehtey heen pakanay ki recepi hasil kerna aasan hey, per pakanay walay kay hath ka zaiqa naheen miltaa, humari daadi key hath ka pakaa huwa aalooo goosht or humari ammi key hath key pakay huway aaloo gosht ko hum dur say hi pehchaan jaatey thee....
bilkul aisay jaisay , dactri so sub koo aa sakti hey, per shifa kissi kissi key haath meen hooti hey,
aisay hi her haath ka zaiqa alag alag hoota hey...

ee bohot sari cheezeen hooti heen, aaloo katnay ka size, ghee ki miqdar, masala ka faraq, phir usme dalay huway gosht waghaira waghaira ....

....or yeh baat keh , har kissi kay hath ka ziada mukhtalif hoota hey, humari dadi usmeen thoora sa zeera dal deytey theen , or walida usper hara dhania

dadi ka banaya huwa aaloo gosht , nan key sath khaney meen maza aata thaa, or walida ka , aap hanseen gee per double rooti key sath .

humeen pakana aata to hey, per pakanay kay jhanjhat bohot heen, bartan , phir choolha, phir masalay rekhney pertey heen, phir pakanay kay baad sub bacha huwa , fridge meen rekhna perta hey, bartan dhooney pertey heen, .......is say bhi kharcha berhtaa hey, phir , jub fridge meen rekhay huway bartan ka salan khatam hoo jayee to usko dhoona to waqai bohot mushkil hoo jaata hey, sara saalan aas paas kinaroon per jam jaata hey, jo phir kafi mehnat key baat dhultaa hey...

so apni saholat or aasani kay liyee, aasan rastaa, aas paas kafi hotel heen, sub key sub zindabaad.

ramzanoon meen aisaa hi hota hey, khamkha meen legta hey keh bohot thak gayee heen.


beherhal , humeen ub jaana hey, seth ka arder hey .

aloo gosht per ub phir kabhi baat hoo gey



NOTE: Yeh Alloo Gosht ka ehwal , humaray chand scraps ki copy paste hey.





Doonon mozoon kaa apus meen koi taluq naheen , siwayee iskay keh yeh zehni fatoor qirtaz-e-ibeaiz per aik he waqt muntaqil kiya geyaa.


barah-e-karam in mozuat ki apus meen la taluqi ko aik "Faqa" kush ya FAQA_ZADA insan , jo keh apnay faqay ko " Roza" kehta hey , key rozay lagney ka asr samjheen or sanjeedegi say na leen.

Comments