Batwa or Joota

.bachpan meen aik shararat jo hum mohalay waloon say mill ker aksr kertey they …us ka taluq batway say thaa…
Professor sahib key ghar ki seerhiyoon per beyth ker aik batway ko dhagay say bandh ker sarak par pheynk deytey they….
… Nayab Cinema say aksr loog show khatam hooney key baad , sarak crass ker key , Govt College wali gali say guzartey they…… kafi rush hoota thaa…
aysay meen agr kissi ko wooh batwaa nazr ayee , to lazmn …….wooh usko uthanay key liyee jhuktaa thaa……… Batwaa……..or us meen mumkina tour per moujood paisaoon key bari kashish hooti hey…
uskay baad uskay sath joo hoota thaa…woh aik alg dastaan heyn. …….kiyon keh jaisay hi wooh batway ki taraf hath barhataa……. Seerhi per beythaa huwa larka , jis key hath meen us say bandhaa dhagoo hoota thaa,…….us ko kheych leytaa……..or batwaa……….ur ker uskay hathoon meen anay say pehlay hi ur jaata , ya agr hath meen aata bhi to chalang laga ker nikal jaata….
us kay baad , us shaks keee shakl or harkateen deykhey wali hooti theen……kai to is mafroor batway key peechay bhagney lagtey they ….kai us per chalang lagatey they…….kai thitak ker ruk jaatay or phir ahista ahistaa ghat laganey key liyee doubara us ki taraf barhtey …..magr , kahani phir dohrai jaati , yaani ….hath aya huwaa batwa , hathon key tooton ki tarah phir nikal jaata….
us waqt agr kissi larkey hi hansi nakl jatee, tub mamlaa uski samjh meen aatta, or woh ya to ghussa hoota , ya khajal hoo ker sharminda sharminda saa khisiyani hansi hansta huwaa agay berh jaata..
…… aik dafa aik sahib , Govt School ki deewar key sath , ….. rafa-e-hajat meen masroof they……. Moti ney batwa unkay paas ki pheynk diyaa……. ub deewar key sath beythay huway jub unki nazar ……mumkina mal per pari , or wooh bhi itnaa qareeb …….to ……… sath hi hath barhayaa …….magr batwa phudak ker agay berh geyaa…..unhoon ney wahan say hi batway per dive lagaee .. ..ub halat yeh keh pant neechay ……….pairoon meen phansi huwi…. nangay mungay ….. zameen per girry huway….or batwaa……..unsay chand inch hi agay paraa huwaa unka munh chirhaa rahaa.. or wooh pat pat ankheen phar ker usko deykh rehey keh yeh agay kaisay bhaga….
phir jab larkoon kay Qahqahay ki awaz sunayee dee….to uthey or aysaa bhagay …..keh apni jootiyaan bhi wahan hi chor gayee…………or kafi deyr agay ja ker , unko pant ooper karnay ka khiyaal ayaa….
……….. humeen yaqeen yeh , yeh waqiyaa sari zindagi unheen …..peryshan kartaa rehey gaa 
..isee tarha aik dafa aik sahib ko , hasb-e-mamool khali deewar deykh ker apni nishani wahan choorney ka khiyal ayaa........ mousoof Cycle per they , maghrib ka time thaa... cycle say utreey , usko tala lagayaa , Izhar band khoola , or aik khali jagha deykh ker ......apni nishani laganay lagay.....

.....phir unheen bhi qareeb hi batwa para nazr ayaa , ...abhi wooh us per ghour ker hi rahay they , keh batwaa khud ba khud uchlaa or thoori door jaa ker giraa....

...wooh bhi uchal pareey.....chookney , or batway ko doubara ghour say deykhaa.... batway ney phir aik phudkee lagayee..... ub phir choonkey , or batway ki taraf barhey...... to batway ney unko deykh ker .......aik dam bugat dour lagaa dee.....hawa meen uchaltaa huwaa.......sarak paar janey laga...

unhoon ney jo you baway ko khud ba khudd...hawa meen urtey deykhaa......to Bhoot bhoot bhooot kertey aysaa bhagay ..... keh ghayeeb hi hoo gayee.....

Larkoon ko bhi sharart sooojee.........Cycle key paas gayee........to deykhaa cycle to ko tala laga huwaa hey ........beher haal , ghumaa ker cycle kaa rukh tabdeel ker diyaa...or waha hi khree rehney dee...

aik adh ghantey baad wooh sahib .......do our admiyoon key sath ayee... or apni Cycle ley gayee ..........humeen yaqeen hey wooh cycle ka rukh tabdeel hooney per bhii hairan rehey hoongay...

Comments