Ilm Deen Ka AImia [ ibtadiyaa ]

ilm deen hamary sath , seth key haan kaam kertaa tha, kissi zamanay meen apna karobar thaa, phir halat ney palta khayaa, sub khuch khatam hoo geyaa, or youn wooh seth key haan aa geyaa.

aadmi eemanadar thaa, kam mehnat sey kertaa tha, Hamaray seth meen aik khoobi hey, wooh tankha to kam deytaa hey, per Kam per commision deyta hey,yani aap jitna kaam karoo utnaa kamaoo.

Karobari halat sub key samney heyn, Khuda kissi ko to chappar phar ker deyta hey, baqioon ko poora poora , so is firm meen bhi sub ko bashmool Seth ko bus poora poora hi mill reha thaa, jo keh nakafi hoota hey.

Ilm Din ki zooja mohtarma , ahcey dinoon ki hilli huwi thee, khuch arsa to bardasht kiyaa, per halat ki nazakat deykh ker us ko bhi maidan meen uternaa paraa, or gari ka dosra chaltaa huwa paiyee bunenea paraa.


janay kiyoon , apni kamai haath meen aaatey hi,ilm deen ki Izat kam hoona shiroo huwi , or aik waqt ayesaa ayee, keh Ilm din doon din tak bukhar meen tarapta raha, or ghar meen kissi ney pani bhi na poochaa.

sach hey , middle class gharanoon meen Aksar , mard ki izat ur waqt tek hey, jab tak wooh Kama ker laa rehaa hoo.

ilm deen ki kamai kafi naheen thee, soo Izat bhi kafa naheen hooney lagi,

phir ilm deen ki zooja mohtarma ney soocha , keh shayed ub ilm deen bojh bantaa jaa rehaa hey, Kama ker to koi khas laata naheen, shayed ub ghar meyray kharchey say chal rehaa hey , phir aysee moqoon per Salah deyney walay Hamdard bhi too aa jaatey heyn.
khair halat is qadr kharab hoo gayee, keh ilm deen ki zooja maikey chalee gayeen,

Ub ilm din , akeyla hoota hey, dil ki baat naheen kehtaa, rishtey dar dost wagharia bhi sath choor chukey heyn, or koi bhi aysaa naheen jo us ko or uski bewi key darmiyan koi mafahimat ka rasta nikalney meen maded dey.

aik adh duffa hum ney soocha, or isharay kinayoon meen apni khidmat bhi peysh keyn.

magr usnay baray ehsan tareeqay say inkaar ker diyaa , kehta hey , ub waisay uskay mali halat achey hootey jaa rehey heyn , magr ub wooh bhi beewi ko wapus lanay per raazi naheen, kehtaa hey, jis ourat ney Musebat meen sath deynay key bajayee sath choora , or uska hoona na hoona us kay liyee barabar thaa,.....to us ko wapus laa ker kiyaa kerey gaa....

hum ney poocha our bachey....... sir jhukaa ker , khuch deyr soochtaa rehaa... phir jaisay dil per pathr rekh ker boola ..... meen unka mujrim houyn.... per ub unki qismat.

ub bhi milta hey aksar, or siwayee hum jaisoon ko keh jin ko us ka almiyaa patta hey , koi andaza bhi naheen laga sektaa keh ander say uske rooh  kitnee zakhmi hey....

Per shayed .......

or phir aysee chootay mootay zati almiyoon say to yeh duniyaa bhari huwi hey...

Comments