Ilm Deen ka Almiya part 3

Ilm-din aaj ziada peryshan leg reha thaa, khuredney per bataya do maheney say oper huway uski apni zoja-e-mohtarma say elehdagi hoo gayee hey, Kamal ka aadmi hey, aafice meen kissi ko paata hi naheen chalaa.......!!
or aaj bhi khuredney per hi patta chalaa...!!

darasl ,ma'eshi majboriyoon ney uski beewi ko bhi aik school meen nokri kernay per majbour ker diyaa thaa, or baqool ilm-din key apnaa paisa hath aaney per , uski nazar meen ilm-din ki qadar roz roz kam hooney lagay , yehan tek keh aik waqt aisaa ayee keh wooh ilm-din ko key jis keh sath uski 22-23 sal ki rafaqat thee, ko aik glass pani bhi deyny ko rawadar na thee .


ilm -din bata reha thaa, teen char maheney pehlay jab wooh beemar pera to do din tak akeyla hi kamray meen bukhar meen punkta raha, uski beewi or bachiyoon ko itni toufeeq naheen huwi keh usko Ponston ya Disprin ki goli hi dey deyn.

ilm-din kabhi kabhi buzdili ki had tak shareef hoo jaata hey, humeen ghuza aa reha hey ilm-din per bhi or uski zooja per bhi ....... Paisa 22-23 sal ki rafaqat kay beech kaisay aa geyaa , hum ney ilm-din say poocha usnay apnee beewi ko samjhayaa naheen..


Kehnay lega , agay 'sas' sahiba bhi theen , unhi ki sheh per yeh sub khuch huwaa , akhir ub unki beytee apna joo kamanay legeee thee....!!

or hum soch rehey they , kehtey heen mian-biwi do gari key paheyee heen, umer bhar ka sath hoota hey , or yeh sath achey waqt ka hi naheen , buray waqt ka bhi hoota hey , Halat per beycharey ilm-din ka kiyaa qasoor , mehdood amdani hey per phir bhi 20-22 sal tak to usee ney hi kama ker khilayaa thaa naa , ub itnee mehangai hoo gayee hey to akeyli jaan 5 janoon ka karchaa naa utha sekay or majbouri meen kaam kerna perey tey , to is meen beychary ilm din ka kiyaa qasoor.

atta, daal, chawal, cheeni , bijlee, pani , kiraya , gas, kapray , her cheez ko aag leg gayee hey, go humara seth aik insaf pasand aadmi hey, or wooh waqtn fowaqtn tankhaw meen khud hi izafa bhi ker deytaa hey,

per uski bhi aik had hey, uski apni amdanai bhi too halat say mutasir huwi hey , or ub woh amdani bhi to naheen hooti naa, phir wooh bhi is mehangai say utna hi mutasir hey , jitney key baqi loog, bulkey wooh to shayed khuch ziada hey, kiyoon key uskay to 'status' ka mamla bhi hey., phir bhi .......apnay tayeen insaf karnay ki koshish kerta hey.


khair chooreen usko, ilm din , beychara , janay kaisa waqt aa gayee hey, ya baaz auratoon meen khuch kami reh jaati hey , keh us ki zoojah ney apni zati amdani shiroo hootay hi istarha ankheen pheyr leen....



phir ilm din khud hi kehney lagaa...


" Dhoobi ka kutta , na ghar ka na ghat kaa " , ubhi ghat per dhoobi say sath thandi thandi chaoon meen darkht key neechay beytha hey , aap paas pani bhi hey, dhoobi bhi apnay kapray dhooney meen masroof hey, soo kutay ko ehsaas naheen , jab din dhal jayee gaa or ghar wapus aana peray gaa, tab pata chaley gaa ".

humeen ilm din kee yeh baat achee naheen lagi , kissi ko is tarha " kutta " naheen kehna chaheeyaaa , per hum samajh saktey heen , Dil jala huwa hey....


Note : yeh  Sep 2008  kee tehrer hey

Comments