Ilm Deen ka Almiay part 4

                                                                                            ( Dec 2009 )

Ilm Din Milla thaa , akeyla chai pee raha thaa, Quetta talash hotel per .... hum bhi sath hi ja ker beyth gayee... chai mangai our hal chal poochaa... ..

usey elehda huway huway 8 saal hoo gayee, or humeen tanhaa huway huway ....2 sal .

kehney laga suna hey , pas perda masaleht kee koshisheen hoo rahee heyn ya theen...wooh abhi manzar namey per naheen ayee.....

hum sochney lagay , per dil key sheesay per pari darar , ub hat naheen saktee....dil key sheeshay ka yeh baal , khatam naheen hoo sakta...or jis sheeshay meen bal aa jayee....uska hoona , na hoona barabar hoota hey ....

wazeh rehey, ilm din kee bewi , jub khud kamanay lagee to ilm din ko choor ker chali gayee....!!



phir kehney laga , aysee waqt bulkey is say bhi bura waqt us kay susral waloon per bhi ayee thaa..... bahu kay walid joo kharcha bheytey theey.... us say unka poora ghar chaltaa thaa..... shayed hamary paisoon say bhi.... kiyoon keh hum ney apni zooja say kabhi bas purs naheen kee ....kiyoon keh hum parda daley rekhney per yaqeen rekhtey heyn...

isper jhagrey shiroo huway phir un ki bahu , ney talaq ley lee , our 2-3 sal ki aik bachee koo choor ker chali gayee.... baad meen uski bhi shadi hoo gayee... our ub wooh apnay shoher or do bachoon key sath khush hey...

per jab ilm din per kara waqt ayee , our us ki zooja ko bhi moa'eshi mehnat kernee paree....our us ki apni amdani shiroo huwi too wooh ilm din ko choor ker chali gayee...

hum ney ankheen neechee ker leen , kiya booltey , aysee lakhoon naheen to hazaroon zati almiyee hamary aas paas hi bikhrey huway heyn....
khud hamaray behnoi per aysaa waqt ayee , wooh america meen kissi maqam per hootey heyn.....per hamari behn ney apnay zeywer bhi beych diyee...our unkay sath unkay Store per kaam shiroo ker diyaa.... sath naheen choora.

ub wooh doubara na sirf apnay payroon per khareey heyn , bulkey Defence meeen 1000 Gaz ka bangla banayaa hey ... America ana jaana ub unkay liyee aysee hey .... jaisa hamaray liyee Bus pakr ker Ayesha manzil ya haidri aana jaana..

Allah unheen our bhi barkat dey ....!!

per Ilm Din .... us per tars bhi aata hey our ghusa bhi.... per yeh uska zaati mamlaa hey ... khuch ziada keh bhi naheen saktey ..


...khamoshi say uthe gayee... us nay apni chai key paisay diyee , hum ney apni rah hoo liyeee..

uski Kahani abhi baqi hey ......... hum sirf umeed hi ker saktey hey keh climax ...achee filmoon ki tarah khush gawar hoo gaa...

Per Zindagi......... film naheen....

Comments