Hum key theyrey Ajnabi

Yeh 2002 ki baat hey, hum ney naya naya , khudsakhta tark-taluq kiyaa tha sub say, bohot mushkil kaam thaa..

hum apny munh mian mithoo naheen bantey , per ghanamat soorat zaroor heen.

seth key haan nai nai noukri kee thee, sales counter per bithayaa tha us ney, aksar dukan hum hi khoola kertey they....

aik din deyr say ayee to ,pass key dukandar ney bataya keh aik gahak aap ka kafi deyr say intezar ker rehe thaa , ub chala geyaa hey....
hum apnay app ko koostay huway keh , subah subah hi gahak chala geyee , dukan khool ker beyth gayee ...... us din aas pass key dukan daar humeen bari mani kheyz nazroon say deykhtey rahee , hum ney dhiyan naheen diyaa .... keh ub hum ney loogon kay baray meen sochnaa choor diyaa thaa....

khair agaly din hum zara jaldi aa gayee ,keh mubada woohi gahak phir aa jayee, dukan pohunchay to aik mohni see soorat wali larki kharee thee , ghalibn humara hi intezar ker rahee thee.... khair hum ney dukan khooli ....to us nay sooda liyaa.....

hum thoora say hairan huway keh yeh sooda to taqreebn aas paas ki her dukan per mill jaata hey...
khair humeen to sooday beychney say matlab thaa , so wooh ley ker chali gay...baat ayee gayee hoo gayee or hum phir sey karobar-e-duniya meen mashgoul hoo gayee.

kiyaa kareen ...... dil to naheen chahtaa thaa ub, per paapi peyt jeenay naheen deytaa, roz ki dehari say hi us ka kharcha chaltaa hey ..... so kam kerna pertaa hey....

do teen din baad phr woohi larki ayee , or woohi sooda ley ker chali gayee....humeen thooraa saa achanba huwaa, kiyoon key humari dukan say pehlay , kam is kam 6- 7 dukaneen heen jahan woohi sooda para hoota hey.....khair , hum ney phir bhi ziada dheyan naheen diyaa....

.... aksar aysee hoota hey, aap kissi dukan per jaatay hoo, to sooda wahan per kissi makhsoos sales man say hi leytey hooo....... or baaz dufaa agar aap ko wooh sales man us dukan per nazar naa ayee .....to kabhi kabhi aap sooda liyee wapus bhi aa jaatey hooo...... yeh humara mushahida hey .....

so hum ney soocha...

shayeed aysaa hi hey .......

usko hum per aitemad hey shayeed , issee liyee hum say hi sooda leytee hey...

khair , ub to haftay , pendara din meen wooh aik adh dufaa zaroor aati , or koi na koi cheez khareed ker ley jaati, humeen kai dufaa ehsaas huwaa, keh unmeen say kai cheezeen to shayeed uskay kaam ki bhi naheen hootieen

per hum chup hi rehtay, or kam say kaam rekhtey , kai duffa soocha keh poocheen , per phir ......apna duniyaa sey tark-e-taluk kaa azm yaad aataa .....or soochtey humeen kiyaa .....


phir aik din , wooh aik surkh rang kee gaari per ayee, uskay sath aik larkee our thee, shayed uski behen ya cousin ...doonon humari dukan per ayeen , phir uski behen ya cousin bahir gaari meen jaa ker beyth gayee..
or usnay hum say mukhtalif cheezeed dikhaney ki farmayeesh kee , hum dikhatey rahey, us nay aik cheez khareedi or samnay kursi per beyth gayee.....
khuch booli naheen, hum bhi chup rahey ..... ... phir achanak uthee, or chalee gayee...

gari meen beyth ker bhi humeen kafi ghour say deykhtee rahee , phir gari start kee or chaali gayee....

wooh din or aaj ka din, hum ney ussay phir kabhi naheen deykhaa....


kabhi kabhi khiyaal aata hey, jaanay kiyaa baat thee, wooh aisaa kiyoon kertee thee .....halankey yeh koi khas baat naheen , ......aik larki, aik ghahak aap say soooda khareedtaa hey ...or bus.....

per kabhi kabhi , aksar jub hum akeyley hoon dukan meen , wooh bhi subha subha .. ...jis waqt wooh aati thee...janay kiyoon humeen wooh yaad aa jaati hey, or hum khamkhawa sarak ki taraf deykhney lagtee heen......

shayeed ...uska ka intezar kertey heen....... janay kiyoon.....!!

Comments