Hamari Zindagi ka Mo'ema

yeh humari zindaga ka aik moema hey, hum aam tour say larkiyoon say dour hi rehay ,na hi kissi our larki ney hum meen koi khas dischaspee lee, or agr lee bhi to humeen pata naheen chalaa.

per jub bhi , humari zindagi men koi na koi " CRISIS " ayee, janay kahan say koi na koi larki ya khatoon dobtey ko tinkay ka sahara deyney a gayee .


humari behen ki shadi thee, walid ney hi apnay tamam behnoon or bhaiyoon ko parhaya likhaya, or unkay ghar banayee they, or apnay behen bhayoon ki zimidarioon ki wajah say apni hi aulad ko buri terha nazar andaz kiyaa thaa , walida ki beenai ka masla thaa, per phir bhi wooh humari her mumkin tarbiyat ki koshish kertee theen ,per jub unki apni beeti ki shadi hoonay ko ayee, to ghar meen aik bhoonchaal saa aa gayee, tamam chachaa, or phophiyaan jaisay apni aglee pichlee tamam dushmaniyaan nikalney ko a gayee , mamlaat bohot ziada kasheeda ho gayee, yehan tak key Tamam Karobar ka batwara kiyaa geyaa, or humaray walid key hissay meen sirf aik Khali dukan ayee , baqi tamam sarmaya , rupeeiya paisay tamam chachaoon or phoophiyoon key hath chala geyee.
humeen wooh ghar choorna peraa , or aik our kirayee key ghar meen jaana peraa , wooh dousara ghar bikhra bikhra sa , per barkat waala thaa,
humaray walid ney , dukan key pichley hissay per aik darwaza lagwa diyaa, or us ko humaysha band rekha, or khud agaly hissay meen do maiz dal ker beyth gayee,

pichlay hissay ko band rekhnay ka maqsad thaa, keh gahak ko patta na chalay keh pichley hissay meen kitnaa maal peraa hey, khali dukan meen ghahak naheen aataa , so is terha apnay maal per perda dal diyaa...
gahak say souda kernay kay baad, wooh bazar say mal ka arrangement kertey they , aisay meen unki mali halat per bhi perda rehtaa thaa , or bharam bhi qaim rehtaa thaa.
Walid kaha kertey they, dukan dar ko do hi chezen chupa ker rekhnee hooti heen, aik Mal , dousra dam.
Mal say murad , keh kitna maal moujood hey , or kitna maal mohiyaa ker sektey heen.
aap khud deykh leen , gahak bari dukan say maal leytaa hey, bohot kam chooti dukan per cherhataa hey, per 80% say zaid humara mushahida or tijarba hey, woohi bari dukan waala , kissi bazahir chooti dukan, say, wooh mal ley reha hoogaa.
yehan , asl meen wooh chooti dukan wala hi , bara wholeseller hooga , bus uskay pas jugha ki kami hoogi , ya woooh khud retail naheen kerna chahtaa hoo ga, is liyee sirf supply ka kaam kerta hoo gaa , or supply kay kaam kay liyee dukan naheen godam ki zaroorat hooti hey...

khair chooreen in karobari batoon koo, khair humari behen ki shadi per aik hangama thaa, kafai halat kharab they, yeh to afreen hey, keh dulha waloon ney mamlaat ko samjha , or humara sath diyaa, khair up behen allah kay karam say , apnay bachoon ki bhi shadi ker chuki heen, or mian biwee sal kay 7-8 maheenay amrika meen lagatey heen.
per is waqay say hum bilkul hi toot gayee, humeen pehlay bhi walid ki tawju naheen millee , per iskay baad to hum bilkul hi , ajeeb see tanhai or beyzari ka shikar hoo gayee , is waqt Rebacca Alexander doobtay ko tinkay ka sahara sa bun gayee...

na na ghalat na samjheen , is meen koi ishq-ashqi waghaira ka koi chakar naheen, bus janay kiyoon wooh hum say ghulnay milney lagee , halankey university meen bohot say larkay , uski aik nazar kay liyee khuch bhi kernay ko teyar theey.
per jaisaa keh huum pehlay bhi keh chukey heen , keh koi aashiqi washqi ya flirt waghaira ka chakar neheen...
bus us sakht waqt meen uska achanak hi say hum say ghul mil jaana , doobtay ko tinkay ka sahara thaa, hum ney kahbi bhi apni gharayloo mushkilaat kissi say bhi discuss naheen ki, apnay kissi dost say bhi naheen , or us say bhi naheen , laikin uska is terha achanak aana hi humaray hosloon ko sahara deyney ka liyee kaafi thaa.
or hum jantey heen usko bhi pata naheen hooga keh usnay humari is tarha anjanay meen kitnee madad kee thee.
uskay liyaa humaray dil say dua nikeltee hey keh wooh jahan bhi rehey khush rehey or humeyshaa kamiyab rehey. 
aisay hi aik crisis meen humari mulakat Robin Belmay say hui , Robin ghalibn Amreeka meen rehtee hey, hum nay usaa aaj tak deykha naheen , bus ICQ per bat hooti rehee hey,

aisay hi Linda Haris, hum uskay baray meen to yeh bhi naheen jantey keh wooh rehtee kahan heey, laikin us key ghehrey mushahiday or baat ki teh tak pohunch janay ki khoobi ney humeen naya rasta dikhayaa hey....



Zindagi key talkh tijarboon say hum ney aik hi cheez deykhee hey, kehtey heen

" Apna maray to chaooon mee dalay " per humara kehna hey, marta bhi sirf apna hi hey, so , us kay baad say hum ney tamam loogon say bus wajabi sa , akhlaqan waza dari ki had tak taluq rekhany ka teheeyaa or musamam irada ker liyaa hey...


humaray is faisalay say bohot say loogon ko takleef hooti hey, per is meen bhi unhi keh behteree hooti hey, aisay meen ghari zaroori tawaquat banenay say pehlay hi khatam hoo jaati heen , or ayenda ki kissi barai takleef or mayosi say insaan bacha rehtaa hey... 

Comments