Hamari Nalaiqi

Hamari zindagi , aik machine ki tarah hey ..... soo ker uthtey heyn , ..... talash-e-rozgar per challey jaatey hey......... our phir wapus khooli meen aa ker per jaatey heyn....

aik machine ki tarah..... humeen patta hi naheen chaltaa keh hamary aas paas kiyaa hoo rehee hay...... haan ...kabhi kabhi urtee urtee see khabareen miltee heyn....to humeen andaza hoota hey....


yeh baat sub ko ajeeb lagey gee..... magr hamary walid sahib , ney Umra ker liyaa our humeen patta bhi naheen challaa...

unkay paas to passport bhi naheen thaa... , janay kab passport banwayaa, kab uskay liyee darkhawast dee..., kab ticket liyaa.....our kab chaley gayee......


humeen to kissi nay batayaa bhi naheen, our na hi humeen paataa chalaa.......

Aaj jub ... kissi sahib ney mubarak dee.........to hum hairan huway, phir jab us ney kaha keh umeed hey , unhoon nay hamaray liyee bhi dua kee hoo geee....to hamaray kan kharey huwy......

laikin hum ney apni hairat zahir naa hooney dee....tab batoon batoon meen pata chalaa keh Walid sahib Umra ker key aaj hi wapus ayee heyn.....


Errrr.......... ub humeen samjh naheen aa rehaa kiyaa karen........... khair..... maghrib key baad........aik phoolon kaa har pakreen gay.......or dil paakaa ker kay ...... our Himmat ker kay .......... kam is kam Mubarak to day hi ayeen gay.....

...janay Allah Ta'ala humeen hamari is kotahi per maa'af bhi keray gaa keh naheen..

per ..... Huqooq-ul-ibad ki maafi to allah naheen bandaa deytaa hey........so sharminda sharmina hoo ker ........ Chup raheen gey..


Note : yeh  Sep  2009  ki baat hey

Comments