Hamari Farghdilana Pitayee

humeen apnay aik dost key sath , salma house janay ka itefaq huwa , yeh North Nazimabad meen kaheen hey, Salma house meen unhoon ney aik Bank type ka khuch bana liyaa hey , jis meen loog unkay paas jaa ker paisay jama kerwatey heen or wooh us per munafa deytey heen . hummeen naheen maloob istarha private bank banana legal bhi hey keh naheen, khair ,usnay wahan kissi sahib say milna thaa, per wooh sahib mil na sakey, wapsi meen us nay dikhaya keh Yeh wooh Kothi hey jahan kissi zamanay meen Dr Ishrat ul Ibad rehtey they , Bahir do teen Larkay aslaha ley ker ghaliban chowkidari ker rehey they ...

ubhi hum us gali say nikley hi they ,keh aik motor cycle per sawar do larkay a gayee or hum doonon ko rook liyaa, agay beythey huway lerkay ney TT nikalee or boula joo kuch hey day doo , hum ney hath utha ker us say keha humaray pass to khuch bhi naheen , wooh teysh meen aa geyaa ,humari guddi per aik jhanpar maara hum gir gayee , to uskay peechay beythay huway lerkay neey humaray seeney per tang rekh dee, or pehlay lerkay ney humari talashi lee, hum ney phir kaha deykh loo khuch naheen, per is daffa is kay jawab meen pasli per aik zoor dar laat peree , hum dard say dohrey hoo gayee,



peeechay ghalibn unhoon ney humaray sathi ki bhi talashi lee , or joo khuch uskay paas say niklay ley gayee.


aglay din humeen humaray sathey ney kaha phir chalnaa hey, pehlay to hum ney inkaar kiyaa , per phir yeh sooch ker keh akeyla jayee gaa , to uska sath deyna kay iraday say sath hoo leyee , khair is daffa jin sahib say usnay milna thaa, wooh mil gayee or uski baat hoo gayee.

wapsi meen , jaisay hi hum us gali key agay say guzray , jis meen Dr Ishrat ul Ibad sahib ka ghar hey, to hum ney deykha woohi doonon Dakku , unka Pehreydaroon kay sath , hans hans ker bateen ker rehey heen , or khush gapiyoon meen masroof heen, unhoon ney shayeed ubhi humeen naheen deykhaa thaa , hum doonon to wahin hi say ultay paoon murray or aisay bhagey key seetha 2k [ Bus ] key akhiri stop per ja ker dam liyaa ..


our hum , bus meen beyth ker , sarak per paree pan ki lataad peekoon ki surkhi to deykhtey huway yeh sochney legay keh Khuch bhi to naheen badla , aath saal ki bila shirkat-e-ghairay ki badshahat key baad bhi..


allah hum sub ko apni hifz o aman meen rekhay, or na zalim keray na zalim key sath kerey , na zalim key hawaley keray



Note : yeh  July  2008  ka  waqiyaa hey , or  shehr kee  moujada halat , jis meen  bhatta khour  hi , apnay mukhalif  gangs say  karoobari mukhasmat ki buniyad per  bhatta khoori key khilaf  eetajaj ker rehey heyn ...is liyee yad aa geyaa...

Comments