Daadi Merhooma

humeen aksar apni dadi bohot yaad aati heen, halankey , ub to humeen unki shakal bhi sahi say yaad naheen, unka inteqal uswaqt huwa tha jub hum kafi chootey they.

Humari Dadi Merhoma ko galay ka cancer thaa, dacteroon ney jawab dey diyaa tha, sub ghar walay pereyshan they, or unko bachaney kay liyee khuch bhi ker saktey they

Kissi ney aik attai baba ka keha , jo Mangopir ki paharioon kay peechay kaheen rehtey they, sub unko wahan ley gayee , us attai baba nay khuch perha , or aik helka sa chirka unkay bazoo per laga diyaa, thora sa khon baha , sub us attai baba per bohot naraz huway, per chirka to lag chuka thaa, so wapus a gayee..

magar , chargh-e-akhri shab ki tarha, jo bujhney say pehlay bharpoor timtimata hey, dadi aik dum theek see lagney lageen, or sub us attai baba key karishmay kay qail hoo gayee.

per uskay do haftay baad hi, unka inteqal hoo gayee.
per wooh sub to yaqini -bayyaqini kay aik aisay dohrahay per chhoor geya , jehan zehen meen sirf waswasay hi reh jaatey heen...... or samnay hi haqeeqat per yaqeen naheen aata .


yeh haqiqat amr hey, charagh bujhney say pehlay , khoob roshnee deyta hey , shayeed is terha sadmay ka asr shock ki kaifiyat meen jaa ker khuch dard kam ker deyta hey. 

Comments