2000 ka TABBA or 650 ka KIHD

Aik rickshay walay ney bataya thaa, keh TABBA meen uska ilaj 600 Rs meen hoo geyaa thaa, so jub humary dil ney raat do bajay  atkheyliyan karna shiroo keen, to hum ney rickshaw wahan hi leyjanay ko kahaa, kaisay pohnchay....... bus pohunch gayee...

magar TABBA humeen 600 ka naheen 2000 ka para , per aik baat tey hey, unhoon ney zara bhi waqt ziyaa naheen kiyaa , or tamam marahil intahai teyzi say tay kiyaa,.... canolla., injections, goliyan, ECGs , or janay kiya kiya .... neem beyhooshi meen thay,... bus electric shock deyny ki kasr reh gayee thee...

khair , tabiyat sanbhalney per, admit hooney ka kaha, per 40,000 ka nuskha batayaa, hamari majboori bayan kernay per 5000 choorney ka kaha.....

our hum chup chap nikal ayee, they hi 2000-2500 jaib meen, wooh to bhala hoo rickshay wala ,shayed intezar ker reha thaa bahir , ...woooh humeen wahan say KIHD ley geyaa , raat kay 2 baj rehey they .... per phir bhi bohot rush thaa,... Dr Inam Danish ki meherbani ......keh unhoon ney admit ker liyaa...
Rs 100 ki parchi bani .....or adh ghantey meen ooper shift bhi ker diyaa... TABBA ki reports sath theen , so mazeed test naheen liyee ...... bus Pait meen aik injection lagayaa.....



aglay din subha do char test our liyee , jin meen 'Echo ' bhi thaa , humeen ward boy ney batayaa keh echo her kissi ka naheen hootaa, aap kiyoon keh admit heen , isliyee aap kaa sirf Rs 300 meen hoo geyaa hey, waqarna is test ki to bari bari sifarshieen aati heen.
or hum ney deykhaa bhi aysay hi ....

NIHD ahcaa hey, hum jaisay ghariboon kay liyee aik naimat , per janay kiyoon , ghalibn yeh " jaan-pehchan " ka Marz wahan itnee teyzee say kiyoon pheyl rehaa hay....
thori see " Bhai geeri " bhi hey.
Mareez key lahawaiqeen , pareyshan hootey heen, or kissi kadr majbour ....unkay sath Bharam bazi aysaa hi hey, jaisay " doodh meen menganiyaan "

magar loog bohot achay heen, bay gharz bhi kaam kertey heen,

kai loog aysee umda taqreebn muft saholiyat say zabardasti istafada karney kay liyee Bharm Baziyaan bhi kertey nazar ayee.... magar..... insan shanas dactroon ney baray tareeqay say unsay DEAL kiyaa....


or hum jo musr they keh , kiyoon key baqi 4-5 ECGs theek heen, lehaza chuti ker deyn, magar " Echo " karwa ker hi chooraa...


is ' Jan Pehchan ' key marz key tayzi say sariyat kernay ka aik our saboot , us waqt milla jub ward boy , jo keh humeen " Echo " key liyee ley ker jaa rehaa thaa, usnay hum say poocha keh janab aap ki koi jaan pehchaan hey..... jo itna jaldi or forn aap kaa Echo kerwa rehey heen...

or hum uski shakl deykhtey reh gayee, halankey humaray sath hi 4-5 ka our bhi " Echo " keha geyaa thaa......
bhiai dacter nay zarooret mehsoos ki , to echo kay liyaa keh diyaa..... ismeen jan pehchaan ki kiyaa baat.

magar wahan jaa ker patta chalaa shayed Ward Boy bhi theek hey, humaray or baqi mareezoon ka kiyoon keh wooh Admit they, isliyee yeh Echo test baghair kissi dishwari kay hoo geyaa....
warna , hum ney Bahir say kafi sari " parchiyaan " bulkey " Bhaiyoon " ko khud bhi aatey deykhaa, jo keh yehi " Echo " Test kerwana chah rehey thaay.


Ub Budh ko bulayaa hey, aik our test ka kahaa hey, joo keh Budh koo hoo gaa...


agar zindagi rahee, jo keh inshaalah rehey gee.....to wooh marhala bhi guzar jayee gaa...


errrrr.


Humeen isper kissi ka aik koul jaad aa geyaa.... unka kehna keh baz duffaa tasweer-e-butan deykh ker dil Kham Khawa warzish kerna chahtaa hey...
or kiyoon key load sheeding zoron per hey,......to ... bo wajuh poori tarha charge na hooney key , jhatkey martaa hey....


ayeen ...... ub hum us tasweer-e-butan ko talash kareen gey ......tah key voltage ki kami beyshee kaa andaza hoo sakay...


walah alam bas sawab. 



Note :  humeen  pehla  Heart Attack  15 March 2009 ko huwa thaa ...yeh us ki roedad hey.

Comments