Shikst-e-Dil

Hum naheen jantey Mohabat kiya hey,bus uski manmohni see sorat achee lagtee thee, magar kabhi bhi usay bat kernay ki hammat na huwi , roz khamkhawa meen us kay point [ University mukhtalif ilaqoon say anay / janay kay leeya talib-e-ilmoon ko transport ki saholat provide kertee hey , usko urf aam mee point kehtey heen ] say jaana shiroo kiya
or uskay utarnay kay baad, aglay stop per utartey, kabhi yeh bhi himmat na huwi keh ussi kay stop per utartey, or phir do bussen badal ker apnay ghar jaatay.

apni khud atemadi per shak hooney laga, issi chakar meen , do teen larkiyoon say khamkhawa meen andaz-e-guftagoo tabdeel kiya , magar unki taraaf say Hosla afzai deykhi to dar ker peechay hat gayee, keh mubada koi ghalat fahmi na hoo jayee, or phir wooh humari manzil to naheen theen.



hum to us Manmohni soorat ka hi sochtey rehtey they.... doston ney mazak uraya, to khamkhawa meen aik farzi Survey Banaya , or taqreeban 200-300 form Burns Road ki aik dukan say cyclo-style kerwayee.....tahkeh survey keh bahaney uskay baray meen maloomat hasil ker sakeen.

un kai din to wooh nazar hi naheen ayee, albata humary bohot say doost jo is kar-e-sawab meen shamil hoo gayee thay
unki to chandi hoo gayee, unhoon ney humara hath batanay keh bahaney hum say wooh form liyee, or phir taqreeban har kissi ney , in farms ko khoob istemal kiyaa...

ub to form bhi khatam hooney lagey they, keh aik din dil ki murad poori hooti nazar ayee, Library meen wooh apni aik saheeli kay sath akeylee beythi huwi the, libraray bhi taqreeban khali the ... per phir bhi humara to hosla na huwa.. .. Naeem humaray sath the, us ko kaha key ja ker in say farm bharwa layee , pehley to wooh hansa to hum ney usko apna ahsan yad dilaya keh kaisay humaray form ney usko .... Faiza kay baray meen janenay meen madad dee thee..
so ,...humaray is ehsan kay talay wooh form lay ker unkay paas geyaa....
hum door baeyth ker beychanee see , uska intezar kertey rehey, Form ki sahoolat sirf larkey hi naheen, humari class ki kai larkiyoon ney bhi istamal ki,.... isee douran Arza bhi apni saheeliyoon kay sath agayee...or hum say bachey khuchay 10-15 form lay leye , tah keh humari khatir wooh bhi khuch survey ker sakey...
or hum unko form dayney meen masroof hoo gayee.. jub farigh huway to , na Naeem tha na hi wooh Mohni soorat , or class ka bhi time hoo geyaa tha..
jaanay kaisay Class meen waqt guzra, or uskay forn baad, hum Naeem ko talash kernay lagay, magar wooh na milla, UB humara to bay qarari say bura hal tha... point ka waqt hoo geyaa per Naeem phir bhi na milaa, or usdin kafi arsay baad hum ney bajayee Mohni sorrat kay point key, Naeem key ghar ka point pakraa , or uskay ghar pohunch gayee...
per Naeem shayeed ubhi bhi university meen hi thaa...
per kiyoon keh Naeem kay ghar walay humeen jantey they, lihaza hum ja ker uskay Kamray meen berheman hoo gayee...
...or intezar kay karb say guzartey rehey, itnay arsay meen Naeem kay ghar waloon ney humari khoob tawazah ki , kiyoon keh hum uskay achay doostoon meen shumar hootay they, Biryani khilayee, chai bhi karak pilayee,....per Hum say to aik niwala bhi naheen nigla ja reha tha... tohn-kardan zehr mar kiyaa....
khuda khuda ker kay waqt kata , or Naeem aglay point say ghar ayee.... Jaisay hi wooh ghar ayeea hum us per jhapat peray ,or form talab kiyaaa.... Naeem sharafat kay mood meen tha, usnay donon hi form hum ko day deyaa, or sharafat say yeh bhi bata diyaa keh , Us Mohni soorat ka form koon sa hey.
form miltay hi humari to khushi ka thikana hi naheen rehaa,
or hum forn hi uska shukria ada kiyaee bhagair hi nikal ayee.
Ghar a ker tasali see form perha, kafi cheezeen milti julti theen, humara yeh jaan ker dhayroon khoon barh geyaa,
ub agla marhala us say baat kernay ka thaa... so aik poora hufta sooch bichar meen leg geyaa....
akhir soocha keh , uskay pass jayeen gey, or form meen likhi cheezoon kay baray meen wazahat talab kereen gay , is say kum is kam bat kernay ka bahana to milley gaa.

per jub agaly din Universit gayee, to Semester ka Schedule aa chuka tha.....so majbooran Perhai ki taraf dheyan deyna peraa....is douran wooh Mohni soorat bhi nazar naheen ayee, shayeed wooh bhi Imtehanoon ki tayari meen masrof ho gayee hoo gee....
Semester bhi khatam huwa, per wooh Mohni soorat phir bhi nazar naheen ayee... or roz subha sham , humaray dil meen aik hook uthtee , hum classon kay baad ka khali waqt , sari university meen khamkhawa awara gardi kertey rehtey,...per wooh soorat phir bhi nazar naheen , ayee...

Hum Mayoos ho ker , doubara apni zindagi meen wapus agayee..
akser humeen wooh Mohni soorat yad a jaati , per hum bay bas they.....kiyoon keh wooh un Nazar naheen aati...Janay kahan gayee , kiss hal meen thee, or kiyoon us nay Univeristy choor dee......isee douran ten char saal ho gayee.
Or Waqt , sub say barra marham hey, dil kay zakhmoon per aik teh see bicha deyta hey , or zakham, chup jaata hey....

Hum ney apni taleem mukamal ker lee, ...is douran Mehdi ki Shadi ka card ayee , sub doostoon ko jaana thaa... hum bhi gayee....khboob hala gulaa reha....
rukhsati walay din , sub bohot khush they, keh achanak humaray dil per churi see chal gayee....
wooh Mohni soorat samnay kharee thee .....or aik 2 sal ka bacha us say pooch rehe tha.... Ami dolha keh chehray per Sehra kiyoon bandhtey heen , .....??

Hum say wahan mazeed na theera geyaa, or hum khamooshi say wahan say nikal ayee....or ghalibn sari raat samandar ki kinarey ja ker beythey rehee....


Aglay din , sub doostoon ne gilla kiyaa, Mehdi khas toor per bohot naraz thaa...
per hum kiya batatey......



Youn hi beytey rehay
door hum taktay

youn hi door door
Is Qurbat meen

Na tum samjhay
jo meen ney kehna thaa
Na meen samjha saka
jo samjhana thaa.

Is khamooshi meen
doori ki chadar oorhey
Ik rabt ko
hum tum nay na qaim kiya

Ub is judai meen
reh reh ker
is fatah meen
ehsas shikast yaad ayeea

kash hum tum meen
wooh rabt paida hoota
kash hum bhi tum say
Mohabat kertey...


Yeh Lamhey meyri tahnai kay
Achey guzartey..

Comments

  1. Ajeeb see bat hey, ub hum sochtey heen uskay barey meen , to sirf ik hawela sa reh jaata hey,

    Humeen uska na naam yaad hey, na shakal , bus ik saya saya sa hey zehen meen.

    shayed waqt ki gard is qadar dabeez hoo chukee hey, keh ub sirf ik sarab sa reh geya hey.

    ya phir shayeed hum jis ko mohobat samjh beythey hoon , wooh mohobat hi na hooo..

    Bus jawani ki ik roo hoo.

    ReplyDelete

Post a Comment