Rizvi Sahib ka Murgha

Hum humeysha say aisee yaseet ka shikar naheen rehey, kafi hangama khees bachpan rehe hey.

.aik dufa Rizvi sahib ka murgha ko hum ney unhi koo khilayaa tha..
Huwa youn keh Picnic per jaana tha, or khuch passs bhi naheen tha, to mohaley say Rizvi sahib ka murgha pekra...or picnic manai,
Insaf pasand loog heen hum , is leyeaa,unhi key murghey ki aik tang, roast ker key , nehayet hi nafasat say, salad chatney key sath, or nan key sath, sham ko unkay ghar bhijwaa dee,

..unhoon ney baray mazay say khai, or humarey pakaney ki kafi tareef bhi kee .
uskay baad wooh haftoon tek, mohaley ki mukhtalif biliyoon or biloon ko mashkooq nazroon say deykhtey rehey....... murghey ney na milna tha, na mila....or hum to apni danist meen udhar uttar hi chukey they, akhir salad, Nan, or phir roast kerna, or nafasat say peysh kerney ki bhi to sarahat hooni chaheya..



Hum chaley to humarey
Sang sang nazarey chaley.

Comments