Khuch Mazi kay jharookon say






yadoon ki rehguzar per
Dil-e-pash pash kay tukrey
mujhey bar bar meyri
Manzil dikha rehey heen

Ulejh-tey sulejh[ty khiyalat
kay Azesh-daham
Muntashir muntashir say
Rastey dikha rehey heen

...Ghulam Mohiuddin jo keh " meyra nam hay mohabat " nami film say , achanak Filmi duniya kay aasman per cha geyee.  unheen hum nay kai bar , Nazimabad meen Intezar ya Manzoor market meen apni Behn kay ghar Paidal attey jaatey deykhe.  Kai bar Anil Choudhery , aik or acha fankar, joo zamnay key ba sabati ka shikar hoo geyaa, wooh bhi aksar, Nazimabad 2 Number meen , Govt College kay pechay say guzarta thaa...
aik arsee tek, hum Khalid Zafar kay paroosi rehey, unheen gharoon kay peechay , Humdard dawakhanay ki factory kay pass  our bhi kai fankar rehtey they.  waz-e rehey Hamdard Dawakhana ka Matab/Office/of Factory Nazimabad No 1 meen , Eid Gah ground kay peechay , Goll Market kay Pass hey, Yeh Factory Nazimabad no 2 meen , Govt College kay peechey hey. ...Inhi galiyoon say, Salam-ullah Tipu Nikla, Yahaan hee say  Salim Yousuf , Pakistan ka Mahi-ya-naz Wicket Keeper bhi Nikla,..usko ur-e-aam meen piyar say Salim Murghee bhi kehtey they. yehan hi hum Amin Lakhani,Shoaib Habib, or Sajid Khan kay sath Cricket kheylee.



Eid Gah Nazimabad ka maidan, aik tareekhi Maidan hey, or humarey khiyal meen 20-20 Cricket ki assal Bunyad yehan hi paree, Ramzanoon meen , isse ground per dopher Zohar ki Namaz kay baad, Eid Gah maidan ki Cemented Pitch per, aik Super Cup ka Aghaz huwa, Yehan Hum Tasleem Arif kay Khilaf kheyley, Afzal Ahmed, Laiqat Ali, joo keh Liaqat Kana bhi kehlata tha....uski fast bowling per Hum ney Taslim Arif ko Bilkul Wicket kay Sath Kherey hoo ker wicket keeping kerty deykha...yeh woohi Liaqat Ali tha , jo Pakistan ki team kay sath England bhi geya, or Wasim Bari, us kay Bal per aik Qadam our peechy hoo jaata tha..  Amin Lakhani , wooh lerka, jis nay India kay khilaf double hatrick key the, shaiyad Multan meen, Jub India B S Bedi ki Qiadat meen 17-18 Sal bad pehly bar Pakistan ayee thee.. isee Lakhani key gaindoon per hum bhi wicket keeping ker chuckey heen...Is Amin Lakhani key walid bohot sakht admi they,iskay cricket kheynely key sakht khilaf they, to jum match shiroo hoota tha, hum loog iski Kit , ground meen ley aatey the, jehan yeh aik Jhari kay peechey Kit change ker kay Match kheylta tha, bowling keraata, phir Kit change ker key ghar challa jaata, walid sahib ko apni shakal dikha ker wapus kheylney aata tha..  Asif Mohammed , jo keh Shoaib Mohammed ka cousin tha, kai bar humeen, humarey gher say match kay leeya bulaney aayaa.

...Magar ub yeh sub Mazi hey, waqt of halat tabdeel hoo jatey heen, usper aadmi ka ikhtiyar naheen.
Govt College kay sath, joo ub Sindh Sports Board ki emarat hey, yehan hum nay Pakistan nay Namwar Atheletes ko practice kertye deykha, aik chritian khatoon , jin ka naam humeen yad naheen, per shaiyad wooh Pakistan ki dour ki champion theen, isi govt college kay maidan meen dour legatee theen.
Govt College kay sath, aik khoobsoorat sa bagheecha bhi tha, jis meen Jugle Flame kay darakht legey huway they, school ki emarat kay bahar kai darkaht they, unmeen say aik Peepal ka darkaht humara favourtie the, yehan hum ney doostoon key sath , kai bar , Jhar-Bandar kheyla...  us kay samney Govt College ka Hostel tha, jis meen Mustajab Mehdi rehta thaa, us kay hostel kay aik kamray per qabza kiya huwa tha...humari kai shameen Ghalib Liabrary meen guzreen, iskay neechey Habib Bank huwa kerta tha, wahan per ney apna doosra account khud ja ker khulwaya, us waqt hum satween ya aathween meen perhtey they, Humari dadi ney humara pehla Bank account United Bank, Chowrangi branch meen khulwaya thaa, magar Habib bank hum khud geyee , or wahan kay Manager kay saamney aapni jaab kharcee kay jama kiyee huway bees rupee rekh deeya, or kaha keh account khulwana hey,Manager thoori deer tek, humaray paisay or humari shakal deykhta reha, phir janay uskay man meen kiya ayee, us nay khud hi tamam kaghazaat mangwaye, khud hi bheray, ghaliban humari zamanat bhi us nay khud hi dee, or yoon hum ney apna aik zaati Khufiya Bank account khulwaya,  phir jub hum Nazimabad say North Nazimabad shift huway, to hum ney wooh account bund kerwya, us waqt usmeen taqreeban   300 rupees hoo chukey they. Bank Manager ney humeen naseehat ki, keh hum wahan bhi jaa ker isee terha account khulwa leen, or agar koi mushikil hoo, to usay telephone kerwa deen wooh khud sanbhal ley ga...  mager, un 300 rupees, ko najanay hum ney kiyoon bila waja kharch ker deeya...or ub .........baaz dafa in paisoon ki shakal bhi deykhney koo tarastey heen.

Humaray sath School meen aik larka perhta tha, sikandar, uskay ghar Moin Akhtar aya kerta thaa...kai bar hum ney saara saara din usky ghar meen , mojood shahtoot kay darkht per , say, shahtoot toortey huway guzara, tah key hum Moin Akhtar say mil sakeen. Magar humari yeh aarzoo kabhi bhi poori na huwi..
han hum nay aik duffa , Jehangir Khan key sath Chai zaroor pee hey, wooh bhi puraney Airport key Bahir aik Khookey say, or uskay paisay bhi Jehangir Khan ney hi adda kiyee thee....Hai, afsoos, Ub Jehangir Khan jaisay loog naheen, uski saadqi, milansaari,or inkesar,...wooh ub loogon meen kehan, such kehtey heen jis darekht per sachi Phel lagtee hey wooh jhuk jaata hey, Jehangir Khan wooh azzem insaan hey
joo is qool ki sachi tasweer hey, haan aik our baat, us waqt Jehangir Khan , 5-6 daffa British open or world championship jeet chukaa tha......Hum uskay aik doost kay janeney walay they,..or Kissy ney Karachi aana tha, to Squash Complex say hum loog direct airport geyee, bahir parking meen kissy ney keha, kay wooh falan Khookey say bari achee chai miltee hey, or waqt bhi thaa,lehaza sub ko Jehangir Khan ney us khookhey say chai pilwaee.


Behtey behtey jee chahtaa hey Beh jaaoon
Pather sakht heen nookeelya,
Jee chahta hey Sanbhal jaoon.

baqi phir kabhi sahi...

Comments