Hum Koun heyn.... ??

Kafi soch bichar key baad , hum is nateejey per pohunchey heyn keh Hum hum hi heyn.
Halanka keh , jub say duniyaa wajood meen ayee hey, yeh masla keh Hum koun heyn , baray baray filasfaroon say our saiens-danoon say aaj tak hal naheen hoo sakaa..
Hamari tareekh-e-padiash wohi hey, jo keh muncipality key certificate or Hamaray Matric key certificate per likhee hey, us kay mustanad hoonay ka aiik saboot yeh bhi hey , keh hamari walida or walid sahib ney bhi uski tasdeeq key hay, or hamaray ghar walay bhi Kabhi hamari salgirah usee tareekh ko manatey they ... , so humaray pass us per yaqeen na kernay ka koi jawaz naheen.
Hamari Taleem , bus wajibi see hey , haan , Abdullah Store key sath joo Khookha Liabrary thee, us kaaa malik is baat ki tasdeeq ker dey gaa , keh kissi zamanay meen hamary parhney ki raftar kafi thee,.... bulkey kafi teyz raftar thee.... aik hi din meen , hum aksar 5-7 pooray 400 safhat tek nay novel , khas tour per jasoosi novel ....... Nigal jaatey theey..
sari ki sari Imran seriies or Hameedi Fareedi series parhi huwi hey ...uskay ilawa Sub Rang digest , Jasoosi digest ....waghaira bhi parhey huway heyn , goo ub itnee dilchaspee naheen rahee.
Amlli taleem hum ney Nayab Cinema meen filmoon ki Line meen lag ker hasil kernaa shiroo kee.... or itnee jani pehchanee shakl they keh .... Teddy Pehelwan ney apnay Makrani lafantaroon say keh diyaa thaa keh unka agr hamary say koi panghaa huwa too wooh beech meen naheen ayee gaa...
School key zamaney meen , aksar awara girdi kertey huway payee jaatey they , magr janay kaisay First division meen pass hoo gayee..
Mazeed ilmi karnamay hum apnay batanaa naheen chahtey, kiyoon yeh hamari aap beeeti hey , hamari ilmi qabliyaat key qaseday naheen.
Humeen apni aap beeti likheny ka khiyaal to kafi arsay say ayee huwaa thaa , akhir baray baray loog apni aap beeti likh saktey heyn to hum jaisay kiyoon naheen , hum ney apni pehli aap beeti per taba azmai , orkut per kee theee.....
Akeylay chaley they, kaafi loog janay kaisay jama hoo gayee, soo hoosla pakraa or us ko yahan muntaqil kernay kaa soochaa...
Hamari aap beeti meen koi khaas baat naheen , koi karnamay sharnamay naheen, koi anhooni or munfarid bateen naheen , hum ney kissi bhi shorat ki koi bhi bulandi ako naheen chuaa , na hi hum ney sari zindagi koi bara kaaam kiyaa , na hi hum koi namwar shakshiyat heyn , na hi hamara kissi namwar shaksiyat say koi gehra taluq rehaa , haan do chaar azeem shaksiyaat say Hath shath zaroor milaayaa huwaa hey ,
so hamari aap beeti meen koi bhi khas baat naheen , our yehi is ki khas baat hey.

Bus akhir meen itna  kaheen gey.
Hum ney jo kaha wooh tum ney sun ker bhi naheen suna , per yeh teyra na sunaa hey kiyoon hum ko yeh hey pata..

Comments