Dil Gariftah BeerBahotiyan

Panchween jamat meen humari dramatics ki teacher ney na janey kiya soch ker humeen aik dramay jo keh little red riding hood say mutasir ho ker banaya geya thaa, school kay annual function kay leeyee , meen chun liyaa.

Humara kirdar Lakar harey ka thaa, jis ney akhir meen aa ker khon khuwar bheyrey koo marna thaa..

Hum ik dhari wali Jersi pehennay ko boola geya, or aik Lakree ki kulhari bhi bananey ko dee.

kheer dhari wali jersi kay leeyay to humari daadi temam sheher meen say kaheen say dhoond ker lay ayeen. Kulhari kay lyee humeen lakri ki talash howi, Munawwar ney kaha uskay ghar meen shehtoot ka peyr lega huwa hey, or hum wahan say koi tehni toor sektey heen .
so hum uskay ghar chaley gayee, wahan hum ney zindagi meen pehli dafa Beer Bahooti deykhi, yeh aik chota sa khobsoorat sa , reshmi reshmi sa , nazuk sa keyra hoota hey, is ki makhmali jild , surhh or maroon color ki nehayat hi khobsoorat legtee hey, or yeh aam toor say shahtoot kay hi peyr per payaa jaata hey.   Khair lakree to mil gayee, magar wooh sara din hum Beer bahootiyan jama kertay rehay.  Matchis ki khali dabiyoon meen rui rekh ker hum ney in beer bahootiyoon kay leyay kaai gharoonday banaye.
or agley din School laay..



Ub dramay ki rehersal aik maslaa ban gayee, kiyoon keh tamam kirdar, bajayee rehersal kernay key, humari beer bahootiyoon ko deykhay to kheylney meen magan hoo jaatay,
tang aa ker, teacher ney humeen jaldi jaldi thoori see practice kerwa ker , Class say hi nikal diyaa.... khari hum ney bhi aik hi line boolnee theee or phir bheyreyee koo kulhari marnee thee , so khuch khas faraq nahen peraa...
albataa ufsoos zaroor huwa, kiyoon keh joo larki Red riding hood ban rahee theee   wooh bohot piyaree thee ,Gol gol masoom ankheen or mohni see , salooni see , Dil meen gudgudi hooti they jub us say baat kertay they.
or yehi wajha thee, humari acting rehersal meen hi kafi Haqeeqi legtee thee, kiyoon kay hum bheyria ko dil say or poori lagan say red riding hood ko bachaney kay leeyaa martey they.... or haqeqatan joo larka Bheyriay bana thaa wooh hum say kani katranay lega thaaa , or us nay aik adh dufa humari shikayat bhee kee the, magar teacher ko humra Natural or Jazbay say bharaa andaaz bohot acha lega...

per kiya kareen , humari Beer Bahootioon ney humeen rehersal say nikal diyaa.
Per hum bhi , aik kayaan shey they, roz Beer Bahootiyan latey, or door say , Khas toor per Red Riding Hood ko dikhatay, Red riding hood koo bhi wooh Beer Bahootiyaan bohot achee legtee theen so wooh bhi bahanya bahaney say rehersal say bahir aati , or kafi deyr tek Beer bahootiyoon say kheyltee rehtee... or hum usko deykh deykh ker khush hootey rehtay...

Phir Miss ney humeen aik duffa pakar liyaa , or samjhayaa , keh hum to natural acting kertey heen, per Red riding hood ko kaafi teyari key zaroorat hey, uskay dialogue bhi ziyada heen , or poora drama hi usper hey so hum usko yak sooi say dramay ki rehersal kerney deen.
Humeen yeh baat samjh aa gayee, or hum ney bhi Red riding hood say kaha keh agar wooh achee acting kerey gee to hum uskoo apni Beer Bahootiyaan day deyeen gay.

Khair khair ker kay School function ka din ayeeya , humara drama sub say akhir meen thaa.... Drama shiroo huwa , or jub humara paart ayeeaa to Mike Band hoo geyaaa, Magar hum bilkul bhi na ghabrayee, or khud hi intey zoor say apni dialogue Bheyrreeya ko lalkarnay ka boola keh, woh lerka joo bheyriay banaa thaa waqai dar geyaa, or humari kulhari maarnay say pehlay hi gir geyaa, Hum ney yahn bhi apay oosan khata na hooney deyaa, or Stage per uskay samnaay istarha agayee keh yeh pata hi naheen chala keh hum nay usko kulhari maari bhi hey keh naheen..

Aglay roz , humari achee acting per, Madam ney khas tor per humeen sub kay samney bula ker shabash dee.
Per humeen sub say ziada khushi us waqt hooi jub hum ney hasb-e-wada Red Rding hood ko Beer Bahootiyan deen , or wooh khushi say uchel paree, uskay chehray ki yeh khushi humeen aaj bhi yaad hey.....


afsoos , aik huftay baad School ki saalana chutiyan hoo gayeen, or hum junior say senior section meen a gayee, ..... per Red Riding hood, ney School Badal liyaa.....

Ub humen yaad naheen, kiyoon , shayeed uskay waalid ka tabadla hoo geyaa tha, ya unhoon ney ghar badal liyaa thaa, ya unhoon ney , uskay leyaaa koi doosra school deyh liyaa thaa....

Beher haal, uski wooh massom khushi bhari ankheen humeen aaj bhi yaad heen.



Zindaga kay safar meen guzar jaatay heen jo maqam
wooh phir naheen aatay
wooh phir naheen aatay

phool khiltey heen
loog miltey heen

patjhar meen jo phool murjaa jaatey heen
wooh baharoon kay aanay say khiltey naheen

Khuch loog ik rooz jo bhicher jaatay heen
wooh hazaroon kay aanay say miltay naheen


Umer bhar chahay koi pukaara keray
Unka naam

                                                   wooh phir naheen aatay
                                                   wooh phir naheen aatay.

Comments